chinky 31 Posted July 17, 2008 (edited) Edited July 17, 2008 by chinky Share this post Link to post Share on other sites
MuhammadAmjadIqbal 0 Posted August 19, 2008 786 92 Aua wr wb, Ambiyaa and Rusul {ASA} ma'soom hotay hain aur un say jo ghaltiyaan hoti hain wo hamari tarha nahi hoteen, balkay wo apni Ummat ko sikhaanay ka aik tariqa hai. Hazrat Moosa {AS} aur Hazrat Khizar {AS} k qissay main agar zahiri taur par Hazrat Moosa {AS} nay ghaltiyaan keen, magar agar aqal iste'maal kee jaey to us main Allah Mian nay humaray liay kafi seekhnay ka samaan rakha hai. Isi tarha Hazrat Aadam {AS} say jab Hazrat Moosa {AS} nay poocha k aap Gandam ka daana na khaatay to aaj hum Jannat main mazay say rehtay hotay. Hazrat Aadam {AS} nay jawab diya k Moosa! aap Taurat parhtay ho aur fir mujh ko aysa kehtay ho. Allah Mian nay hazaron saal pehlay yeh likh diya tha k Aadam {AS} ghalti karay ga, to wo main nay karni he thi na. Magar Jab Allah Mian nay Aadam {AS} say poocha k aysa kiyoon kiya jab Main nay mana kiya tha to wo bolay, "Rabbana Zalamna Anfosana" aap muafi day dain, warna hamara bohat nuqsan hoga. Is par Allah Mian nay un k Darajaat bhi buland kiay aur Shaitan ko qusoor waar thehraya k us nay Jhooti qasam utha kar Aadam ko gumrah kiya. Is liay, zaahiri cheezon par nahi jana chahiay, warna aap na jaantay huway bay-adabi main ja saktay hain aur yeh baat Ambiyaa-o-Rusul say hoti hui agar hamaaray pyaaray Aaqa Jee {SalAllaho Alaihi waSallam} tak jaa pohnchi to apnay emaan ki khair manaein. wAllaho A'lam bisSawaab. Lab Kushayee main na hon Gustaakhiyaan Us* taraf Khaamosh rehna Chahiay!!! Share this post Link to post Share on other sites
chinky 31 Posted August 19, 2008 hmm..sahi kha rahay hoo ap... mara sharee karnay ka maqsad ya tha kay augher hum kuee ghalati kartee hain too humian apni ghaltioo kay lay Allah say tobha karnay chayee.humhain apnay Ambiyaa aur Rusul ((ASA)say seek na chayee. Share this post Link to post Share on other sites