Jump to content
CooLYar Forums - A Friendly Community by CooLYar
Sign in to follow this  
Nayab007

Lharki Or Lharkay Ki Muhabbat May Fark

Recommended Posts

Boht uljhan wala sawal hai may kushish karoon ga kay kam say kam lafzow may explain ke ja sakay

Zindagi boht khoobsorti hai or is ki khobsorti o dilkashi may phir rang apni mastiyow say numaya ho jatay hain jab muhabbat ka atoot bandhan kise say jurta hai phir mashra halat ghar ka khoof dar ruswaye culture rawayaat sab kuch zahn say nikal jata hai bas yahi arzow zindagi ki manzil ban jati hai kay muhabbat ko azwaji zindagi kay bandhan may bandha jaye

Lharki ki Muhabbat:

lharki jab kise say muhabbat karti hai tu os may os ki majboriya os ki muhababt may rukawat ban jati hain

osay daikhna parta hai sab rishtow ko jin rishtow may wo pali bhari hain jin rishtow nay osay lharki ki haya os ka zaiwar bany hai

Lharki ke kul jama punji os ki kul kayanat os ka mashra os ka ghar hota hai wo Baap ki izzzat maah ki shaan or bahn ka piyar or bahi ki aan hoti hai

wo in rishtow ko kuchal kar apni muhabbat ko nahi paa sakti wo kabhi bhi Baap ki ankhow may tairty hovi izzat ka garor maah ki tarbiyat ka bharm ko chakna chor nahi kar sakti wo muhataj hoti hai to sirf on kay faislay par kay wo kia kartay hain wo jo kuch bhi faisala karain lharki rooti anshow bahati apni zindagi ko in rishtow par qurban kar dainay ki salahiyat rakhti hai os ki muhabbat majboor hoti hai wo bewafa nahi hoti

Lharkay ki muhabbat:

apnay maah baap ka lakhtay jigar on ki kahishow ka mahl on ki zindagi ka mahwar lharka amooma apni marzi ka malik hota hai agr wo kuch mushkil faislay maah baap say karwana chahay to amooma Maah baap maan jatay hain magar lharka houslay say daliel say or mustakal mazaji say chalay to agr lharkay nay jhooti muhabbat ki bonyad rakhi ho to wo phir is maamlay may zaida kushish nahi karta

Nateeja:

Jab lharka lharki hon razi to kia karay ga Kaazi ;) ;)

Matlab yai kay munhasir hota hai donow lharka lharki kay maah baap par kay wo kaisa mazaj rakhtay hain aia kay wo zaat bradari onch neach kay farsooda or tareek pahlow ko lay kar faisla kartay hain ya phir apni olaad ki sachi kushi ko daikh kar faisala karta hain

Hum to sirf apnay raye paish kar saktay hain agr muhababt may sachaye ho or zamanay kay tufanow say takrnay ki salahiyat ho muhababt zaror milti hai agr na milay to yahi samjhna chihya kay Khuda ki is may koi na koi maslahat zaror ho ge or apni zindagi ko aik naya siray say lay kar chalany ki kushisih karni chahiay chahay wo kitne he talkah kitne he aziyat wali kion na ho kionkay akhir zindagi ko to basar karna hai chahay roo kar basar karo ya phir mazi ke talkh yadow ko kise kabarstan may daffan kar kay apni kul kayanat naye hamsafar kay sath :wink:

Faqat

App sab ka Mukhlis

Babar Nayab

Share this post


Link to post
Share on other sites

yes my dear Emaad

koi shak?

Share this post


Link to post
Share on other sites

Create an account or sign in to comment

You need to be a member in order to leave a comment

Create an account

Sign up for a new account in our community. It's easy!

Register a new account

Sign in

Already have an account? Sign in here.

Sign In Now
Sign in to follow this  

×

Important Information

We have placed cookies on your device to help make this website better. You can adjust your cookie settings, otherwise we'll assume you're okay to continue.