Jump to content
CooLYar Forums - A Friendly Community by CooLYar
saaya

Muhabbat To Sabhi Kerte Hain

Recommended Posts

Muhabbat to sabhi kerte hain dil ko lagane k liye

Maen to muhabbat ki hai sirf tum ko pane k liye

Chahay kuch bhi ho muhabbat to un se ho gai hai

Bas aik hi nazar maen wo dil ko lay gai hai

Muhabbat un ko ham se aur hum ko un se hoi hai

Aik hi nazar maen, maen us ka aur woh meri ho gai hai

Maen us se aur woh mujh se kuch keh pati nahi

Woh muskra ker qareeb se guzar jati hai per kuch keh pati nahi

Us ka hansna aur bal khana yehi aik shokh ada hai us ki

Dekhna nazraen churana phir dekhna ye hi haseen ada hai us ki

Bas ab to ji chata hai hamesha dekhta rahon tujh ko

Tum mujhay aur maen hamesha chata rahon tujh ko

Ab yehi tamannahai meri keh tum meri ho jao

Har waqat maen teray aur tum meray kyalon maen kho jao

Muhabbat to sabhi kerte hain dil ko lagane k liye

Maen to muhabbat ki hai sirf tum ko pane k liye

Share this post


Link to post
Share on other sites

good saaya

ajab din thay muhabbat kay ajab mossam thay chahat kay

kabhi gar yad ajain to palkon pay sitaray jhilmiltay hain

kise ki yad main raton ko aksar jagna mamool tha apna

kabhi gar neend ajati to hum yeh soch letay thay abhi wo hamaray wastay soya nahi hoga

abhi wo roya nahi hoga

abhi hum bhi nahi sotay abhi hum bhi nahi rotay

so phir hum jagtay thay

phir hum jagtay thay aur us ko yad kartay thay

akelay beth kay weeran dil abad kartay thay

hamaray samnay sitaron kay jhurmat main akela chand hota tha

jo us kay hussn kay agay bohat hi mand hota tha

falak per raqs kartay un ginnat roshan sitaron ko jo hum tateeb detay thay

to us ka nam banta tha

hum aglay roz jub miltay to

wahi rat ki her bakali ka zikar kartay thay

her aik qissa sunatay thay

kahan kis waqt kis tarha say dil dharka batatay thay

main jub kehta kay janan main ajj rat ko ik pal nahi soya

to wo khamosh rehti thi

per us ki neend main dobi hov do jheel se ankhain acchanak bol uthti thi

man jub us ko batata kay main nay rat ko roshan sitaron main tumhara nam dekha tha

to wo kehti

razi tum jhoot kehtay ho

sitaray main nay dekhay thay

aur un roshan sitaron main tumhara nam likha tha

ajab masoom larki thi mujhay kehti thi kay

lagta hai ab apnay sitaray mil hi jaingay

magar us ko khabar kiya thi

kinaray mil nahi saktay

muhabbat ki kahani main muhabbat karnay walon ko

sitaray mil nahi saktay

Share this post


Link to post
Share on other sites

u r alwaz welcome saya :hi:

"Hamain naheen aata pyar karna na hee aae mar jana.*

*To kahaan ka peechay hatna aur kahaan ka dar jana.*

*Parwanon say seekh lain gay pyar shamma say jal jana.*

*Phir is dunia ko yaad rehay ga taira maira har afsana.*

*Shabnam say hum seekhain gay faryad na karna ro laina.*

*phoolon say seekhain gay hum kaanton ki nok par muskana.*

*bulbul ban kay chaman chaman tujhay hum dhondain gay.*

*Milnay ki jub tak aas ho gi jeena, aas tutee aur mar jana.*

*Parwanon say seekh lain gay pyar shamma say jal jana.*

*Phir is dunia ko yaad rehay ga taira maira har afsana.*

Share this post


Link to post
Share on other sites

nice posting umair

umair wase yeh app ke naam ke aagaye zm kia hai

mind nahin kerna aaesye hi pooch lia

Share this post


Link to post
Share on other sites

Create an account or sign in to comment

You need to be a member in order to leave a comment

Create an account

Sign up for a new account in our community. It's easy!

Register a new account

Sign in

Already have an account? Sign in here.

Sign In Now

×

Important Information

We have placed cookies on your device to help make this website better. You can adjust your cookie settings, otherwise we'll assume you're okay to continue.