Jump to content
CooLYar Forums - A Friendly Community by CooLYar
**LaLa_1**

Dars-e-hadis

Recommended Posts

"Hazoor e Aqdas sallallahu alehey walehi wasalam ka irshad hai ke jo bhi banda kisi wakat bhi din main

ya raat main "La ila ha ilallahu" kehta hia tu amal nama main se buraiyan mit jatii hain or in ke jaga neekiyan

likhii jatii hian"

Share this post


Link to post
Share on other sites

Hadeess:

Hazrat Zubair RaziAllahtalaanh se riwayat hia ke RAsool sallallahu alehey waalehi wasalam ne irshad farmaya:

Tum loogoon ne peechli qoomoon ki beemarii hasad or keena sarayat kar raha hai,Hassad ki beemarii hi mond

deene wali hai mai ye nahi keh raha hon ke baloon ko moond letii hai balkey deen ko moond letii hai"

Note : hasad wo bugas wo badtareen bemariyan hain jo admi ke deen wa eman ko is tarah fana kar deetii hain ji tarah ustarah sar ke baloon ko neest wa nabood kar deta hai..

Ayat : "Or Hasad karne waley key shar se teri panah mangata hoon jab ek wo hasad arey" (Al Quran)

Share this post


Link to post
Share on other sites

Hazrat Umer (RaziALLAHANHO) sey riwayat hai k NAbi AKRAM (SALALLAHO ALAIHE WASALLAM ) ne fermaya :" mujhe had sey na berhana jaisa k Eesaaion ne Hazrat Eesa (ALAIHE SALAM) ko had sey berha dia, main tou mehez Oos ka banda hoon , pas tum mujhe ALLah ka banda or Oos ka Rasool kaho"

(Sahi BUKHAARI)

Aik riwayat main aata hai k kuch logon ne Aap (SALALLAHO ALAIHE WASALLAM) ki bohot ziadah tareef ki tou Aap (SALALLAHO ALAIHE WASALLAM) ne fermaya:" a Logon tum wo he baatein kero jo tum kertey ho, kahin shaitaan tumhain behka na dey, Main Muhammad (SALALLAHO ALAIHE WASALLAM) Allah ka banda or OOs ka Rasool hoon, main nahi chahta k tum mujhe is martabay or muqaam sey berhaa dou, jo Allah ne mujhe ata kia hai(

Nisaai)

Aap (SALALLAHO ALAIHE WASALLAM) ki dawat tou ye thi k main tou sirf Allah ka banda hoon or main jo Ahkaamaat batata hoon wo ALlah ki taraf sey hotay hain, is main koi baat main apni taraf sey nahi kehta....is liye tum meray is mertabay per Eemaan laao or merey bataye huey tareeqay per chalo........

Quran Pak wazih tor per Anbiaah (ALAIHEMUSSALAM) ki abdiat yani bashar honay ka ailaan kerta hai,,,Hazrat Eesaa (ALAIHESALAM) k hawalay sey Quran main aata hai k " Masih hergiz is sey aar na kerein gey k wo ALlah k banday hain"

(ALNisa :172)

Quran O Hadis baar baar is baat ki nafi kerta hai jo Log NAbi AKRAM (SALALLAHO ALAIHE WASALLAM) per kertey hain k wo derasal Allah k noor hain , haalaan k aisa hergiz nahi hai,,,,,Quran main aata hai k :"Pak hai wo zaat jo mairaaj main apnay Banday ko ley gaya " ( Bani Israil: 1)

Ek Or jaga irhaad Bari Tala hai k " Saari Tareef Allah k liye hai jis ne Kitaab apnay Banday per Utaari" (AlKahaf :1)

Or isi Tarah ek or jaga per ALlah Tala RasoolALLAH (SALALLAHO ALAIHE WASALLAM) ko tasalli detey huey fermaatey hain k " Kia ALlah apnay banday k liye kafi nahi?" (Zumer : 36

phir ek or jaga irshaad fermaya : "agar tumhain is kalaam main shak hai jo hum ne apnay Banday per naazil kia hai tou is ki see ek soorat hi bana laao "

(Baqara: 32)

(TO BE CONTINUED)

Share this post


Link to post
Share on other sites

buhat acchi post ki hain "LALA" ...

next post ka intazar rahey ga....

Share this post


Link to post
Share on other sites

Jazak Allah lala achay mozoo per post kia ajj kal in baton main wazahat bohat zaroore hay ..

Sora kahaf ki bhi ayat hay jis ka mafhoom kuch hay

Main to tum jaisai hee aik insan hoon !

or aik or sorah hay mujhay nam yad nahi araha per mafhom -e-ayat hay

ager zameen per chlatay phirtay Farishtay to hum un kay koi farishta hee bhejtay ...

ye yahdoion ya isayion ka yeh sawal MUHAMMAD SLAL ALAHO ALHI WASALAM say kay ALLAN nay apni koi farishta kion na nabi banaya tha us per hay

or ajj kal kay bidtaion ka bhi aain wohe sawal hay kay RASOOL isnan kaisai hostay hain woh to NOOR hay

or yahan in kay BATIL honay ka saboot Quran main khud ajata hay !

Share this post


Link to post
Share on other sites
Nabi Kareem Sallallahu alehey waalehi wasalam ka irshad hai

Qayamat main admi ke kadam us wakat tak apni jaga se nahi hat saktey jab tak 4 sawal na kar liye javain.

1. umar kis masghaley main khatam howi?

2. jawani kis kaam main kharch ki?

3. maal kis tarah kamaya tha or kis ksi masraf par kharch kia?

4. or apne ilm par kia amal kia?

Jazakallah bohat zabar10 baat ki hay...aap ko pata hay manay khoud say ye sawallat pochey aur jawab :down: dua karain k en k jawabaat denay may hum sab kamyaab aur sorakhrou hoon...Ameen

Lala>>> jazakallah baki ki complete post ka intezar rahay ga

Rukh>>> jazakallah sahi kaha...yadd hoga yahi bahis hamari Alhuda wallay topic may bhi chali thi tab main bhi ye baat sahi say nahi janti thi k kuch shak tha aur tab bhi manay ye misal di thi k 2nd kalmay may he hum ye gawahi detay hein k Muhammad Salalaho Alaihay wasalum Allah k banday hein ..kitni ajeeb baat hay k phir khoud he es baat ko jhtla bhi detay hein ye keh k app Salalaho Alaihay wasalum noor hein.....

Edited by sanum

Share this post


Link to post
Share on other sites
Jazak Allah  lala  achay mozoo per  post kia ajj kal in baton main wazahat  bohat zaroore hay ..

Sora kahaf ki bhi ayat hay jis ka mafhoom kuch hay

Main to tum jaisai hee aik insan hoon !

or aik or sorah hay mujhay nam yad nahi araha per mafhom -e-ayat hay

ager  zameen per chlatay phirtay Farishtay to hum un kay koi farishta hee bhejtay  ...

ye yahdoion ya isayion ka yeh sawal  MUHAMMAD SLAL ALAHO ALHI WASALAM say kay ALLAN nay apni koi  farishta kion na nabi banaya tha us per hay

or ajj kal kay bidtaion  ka bhi aain wohe sawal hay kay  RASOOL  isnan kaisai hostay hain woh to NOOR hay

or yahan  in kay BATIL honay ka saboot Quran main  khud ajata hay !

sahee kaha Rukh!!!

Share this post


Link to post
Share on other sites

for Rukh

Hazrat Abu Amama RaziAllahtalaanhu riwayat kartey hain ke Hazoor e Pak sallallahu alehey waalehi wasalam ka irshad e mubarak hain ke

"Abid par Alim ko Fazeelat hian,Allah Tala ,farishtey, or Zameeno Asman ka aik aik fard yahan tak ke Ceyounti (ant) bhi apne Bil main or Macchliyan (fishes) bhi samandar main apne Muaalim ke liye duwa kartii hain jo Loogon ko Kheer ke Taleem dain"

Share this post


Link to post
Share on other sites

Assalamoalikum all.....

inshaALlah i will reply very soon here ...sorry for the Big Gap.....

till then FEE AMAANILLAH

Share this post


Link to post
Share on other sites

Hazrat Jabir RAziAllahtalaanhu se riwayat hain ke Hazoor e Pak sallallahu alehey waalehi wasalam ne farmaya ke

"Sab se bara Alim wo hian jo doosron se bhi Ilm hasil karta rahey kiukey Alim hameesha Ilm ka bhooka hota hain"

Share this post


Link to post
Share on other sites

"Tum main se behtareen wo hain jo apni bivi ke haq main accha hain" (Alhadees)

Share this post


Link to post
Share on other sites

Hazrat Anas RaziAllahtalaanhu farmatey hain ke Hazoor e Aqdas sallallahu alehey waalehi wasalam doosrye din ke wastey kisi cheez ka zakheera bana kar nahi rkahtye they.

ye pehla shaeyd post ki hon , mujhy yad nah ihain agar again post howii hain tu i m sorry

Share this post


Link to post
Share on other sites

OK Here I continue !

Aap (SALALLAHO ALAIHE WASALLAM) apni zaat k lihaaz sey insaan hain bal k afzalul bashar hain, or Poori insaaniyat k serdaar hain na sirf Hazrat ADAM (AS) ki olaad hain bal k Olaad-eAdam k liye sermaya -e-iftikhaar hain....

Aap (SALALLAHO ALAIHE WASALLAM) ka irshaad hai: " main Olaad-e-Adam ka serdaar hoonga Qiamat k din!"

Aap (SALALLAHO ALAIHE WASALLAM) Sift-e-Hidayat k lihaaz sey poori insaaniyat k liye meenara-e-noor hain, ye he noor hai jis ki roshni main insaanyat ko Allah Tala ka raasta mil sakta hai...or jis ki roshni hamaisha taabinda rahay gi.......is lihaaz sey AAp (SALALLAHO ALAIHE WASALLAM) noor hain .....lekin Jins k aitebaar sey insaan he hain........kion k bashar or inssaan dono hum maana alfaz hain,..or Bashriat ki nafi kernay k Mana Nabi Akram (SALALLAHO ALAIHE WASALLAM) ko NaoozooBillah < daaira-e-Insaaniyat sey khaarij kerna hai..haalaan k Quran Karim main kayee baar Nabi Akram (SALALLAHO ALAIHE WASALLAM) or Baaqi Ambia (AS) kay insaan honay ki wazahat ki gayee hai jaisay k ooper Hadis or Quran Ki Aayaat main guzra hai......or ye Ahl-e-Sunnat ka aqeeda hai,,,,,Ahl-e-Sunnat k aqaaid ki mashoor Kitaab "Shara Aqaaid-e-Nasfi" main Rasool ki tareef ki gayi hai k " Rasool wo insaan hai jisey Allah Tala apnay paighamaat pohonchanay k liye kherta kerta hai ..........."Fiqa Hanfi ki mashoor kitaab " Fatawa Alamgeeri " main likha hai k " jo shakhs ye kahay k main nahi jaanta k Aanhazrat (SALALLAHO ALAIHE WASALLAM) insaan thay ya jin, wo musalmaan nahi "( Page 263, Part 2)baaz log ye kehtey hain k Aap (SALALLAHO ALAIHE WASALLAM) Allah k noor main sey noor hain or baaz kehtey hain k Ahad or Ahmad main sirf meem ka ferq hai ,ye wo he aqeedah hai jo Christians Hazrat Eesa (AS ) k liye rakhtay hain k wo Khuda thay jo Libaas-e-Bashriyat main aaye............Islam main asey aqeeday ki koi gunjaaish nahi.............pichli ummaton ne isi tarah apnay Deen ko berbaad kia thaa or Aap (SALALLAHO ALAIHE WASALLAM) ko apni ummat k baarey main bhi ye he andaisha thaa isi liye Aap (SALALLAHO ALAIHE WASALLAM) ne apni ummat ko Hidayat fermaayi K " Meri Tareef main aisa mubaalgha na kerna jaisa k Hazrat Eesa (AS) k baarey main christians ne kia k oonhein khuda or khuda ka baita bana daala..main Allah ka bandah or Rasool he hoon ..mujhe Allah ka Banda or Rasool he kehna "

(Sahih Bukhaari ..Page 1009...Part 2)

Quoted From : IKhtilaaf-e-Ummat or Siraat ummustaqim

By MOlana Yousuf Ludhyaanvi (SHAHEED)

TO BE CONTINUED

Share this post


Link to post
Share on other sites

Rasool sallallahu alehey waalehi wasalam ne farmyaa:

Allah Tala apne us banda ko sarsabz wa shadab rakhey jo meri baat snney, phir

ussey yaad kar ley or mehfooz rkhaye or doosron tak ussye puhanchey, pus buhat se loog (fiqah) ilm e deen ke hamil hotey hain magar kud Faqeh nahi hotey or buhat se Elm e Deen ke hamil us ko esey bandon tak puhnach detey hai njo un se ziyada faqeh hon " (jame tarmazai, sanan abi daood,maarful hadees)

Share this post


Link to post
Share on other sites

Lala> jazak Allah bohat shandar or mazboot mazmon per bayan hay ..neechay kitab ka nam perh ker or khsuhe hoye .. mere pasndeda book ....

Ibadat> jazak Allah itne ache hadees meray ley post kernay ka ain is qabil kahan bhi to saffer ka aghaz hay dua kerain munzal-e-maqsod tuk pohnach jaoon

last hadees bhi bohat behtreen hay ..

Edited by rukh

Share this post


Link to post
Share on other sites
dua kerain munzal-e-maqsod tuk pohnach jaoon

Ameen Suma Ameen

Share this post


Link to post
Share on other sites

HAzrat Anas RaziAllahtalaanhu se riwaya hian ke Nabi Kareem

Sallallahu aleheye waalehi wasalam ne farmaya

"Jo shaksh ilm hasil karne ke liye nikley, wo jab tak ghar na lootey,Allah ke rastey main hain"

Share this post


Link to post
Share on other sites

Hazrat Abu huraira RaziAllahtalaanhu se riwayat hain ke Nabi Kareem Sallallahu alehey waalehi wasalam ne farmaya

"Allah RAbulAlamen farmatey hain mujhy meri izzat ki kasam main apne

bandoo par do khoof or do aman jama nahi karoo ga. jab wo duniya main mujh se

darey ga tu main Akhrat main ussey aman doon ga or jab duniya main mujh se

bekhoof ho ga tu akhrat main ussey khoofzada kar doo gi (ibne habban)

Share this post


Link to post
Share on other sites

HAzrat Abu Malik RaziAllahtalaanhu se riwyat hain ke Hazoor e Pak Sallallahu alehey waalehi waslam

ne farmaya :

"Taharat Nisf Eman Hain, or "Alhamdulilah" tarazu ko bhar deta hian or "SubhanAllah wa Alhamdulilah" bhar

detey hain jo kuch hain asman wa zameen ke darmiyan hai or Namaz noor hai ,sadqa daleel hain,sabar rosshni hai or

Quran e Pak hujjat hai tumharye haq main ye tumharey khilaf.har shaksh har roz apne nafs ka soda karta hai,

ya tu us ko aad kar leta hai ye us ko halak kar deta hia (Muslim)

Edited by Ibadat

Share this post


Link to post
Share on other sites

Rehmatallil Alamaeen ne irshad farmaya ke wo ghar jis main Quran Majeed parha jata hai Asman waloon ko

esa dekhaii deta hia jesa ke Zameen waloon ko sitarey dekhaii de rahain hain"

Share this post


Link to post
Share on other sites
Baki sab kahan hain ????

hum yaheen hain Ibadat bus LALA ki baki ki post ka intezar kar rahay hein

Share this post


Link to post
Share on other sites

Accha ...

Irshad e Nabvi Sallallahu alehey waalehi wasalam hai ke Quran Majeed parhne waley se duniye ki museebat hatha di jati hai or Qari Quran se

Akhrat ka Azab hita dia jata hai

Share this post


Link to post
Share on other sites

Aap loog bhi share karai na HAdees koi agar hian aap ke pass tu ....

Share this post


Link to post
Share on other sites

Create an account or sign in to comment

You need to be a member in order to leave a comment

Create an account

Sign up for a new account in our community. It's easy!

Register a new account

Sign in

Already have an account? Sign in here.

Sign In Now

×

Important Information

We have placed cookies on your device to help make this website better. You can adjust your cookie settings, otherwise we'll assume you're okay to continue.