Jump to content
CooLYar Forums - A Friendly Community by CooLYar
Sign in to follow this  
molajut

P Say Poetry

Recommended Posts

everyone is going well :yes: Keep sharing

S> Well said :(

KAB KON KIS KISI KA HOTA HAI i

SAB JHOTE RISHTE NATAEY HAIN

SAB DIL RAKHNE KI BATEIN HAI

AUR SAB ASLI ROOP CHUPATE HAI

IKHLAQ SE KHALI LOG YAHAN

BAS LAFZO KE TEER CHALATE HAI

EK BAAR AAKER NIGHAUON MAIN

PHIR SARI UMER RULATEY HAI

CHALO JIS NE DIYA YEH ISHQ

AAJ HUM IS KO BHOL JATEIN HAI

Share this post


Link to post
Share on other sites

syra>>thanks :girl:

molajut>>aap tou chah ga ay :yes: bhut achi poem hai ye...haqeeqat k bhut kareeb..infact bhut he ziada reality hai ye..bhut khoobsorat..well done :)

Us ko mera halka sa ehsaas to hai

Be dard sahi woh meri humraaz to hai

Woh aaye na aaye mere paas lekin

Shidat se mujhe us ka intezaar to hai

Abhi nahi to kya hua mil hi jayengi kabhi

Mere dil main us se milan ki aas to hai

Pyaar ki gawahi mere aanoon se na maang

Barasti nahi aankhen magar dil uddas to hai

i hope u'll like it!

Share this post


Link to post
Share on other sites

Blue Eyes> Thanks once again..jee haan woh poem bohat he reality k qareeb thi aur i think poetry bohat kuch bata deti hai jo insaan khud keh nahin sakta ya bayaan nahin kar sakta woh Poetry mein asaani say keh sakta hai thats y i like it and urs postings is superb keep it up :yes:

hamesha woh pass hai

per zindagi main kuch khaas hai

is se her pal baikhlaas hai

isi per her aas hai

ger akeli veeran zindagi hai

to is main hari ghaans hai

her insaan ko is ki fikar hai

piara sa jo ik ehsaas hai

aankhoon main basa ik raaz hai

shaid aansoon se bhara ik taas bhi hai

kabhi khushioo ki chashni hai

kabhi ghamoon ka chilli sause hai

dharkanoon se bana ik saaz hai

bina is ke akela her raas hai

kanoon ki man pasand awaaz hai

her dil ko is ki pyaas hai

kuch samajh main aay kia hai

hamara rishta yahi to khaas hai

Share this post


Link to post
Share on other sites

Molajut>>bilkul sahi kaha,,yahi art dil ki awaaz hoti hai..

loog toot jatay hain aik ghar bananay main

tum taras nahi khatay bastiaan jalanay main

har dharaktay pathar ko loog dil samajhtay hain

umrain beet jati hain dil ko dil bananay main

Share this post


Link to post
Share on other sites

Love this song enjoy it :)

Tu mila to mili aisi jannat mujhe ...

Tu mila to mili aisi jannat mujhe

Ab kisi aur jannat ki perwah nahi

Mit gaye faasley kam hoi dooriyan

Khatam honey ko hain saari majbooriyan

Waqt nay baksh di aisi rahat mujhey

Ab kisi aur rahat ki perwah nahi...

Tu mila to mili aisi jannat mujhey

Ab kisi aur jannat ki perwah nahi

Janey kya kya hamien log kehtey rahey

Rooh tarapti rahi hans ke sehtey rahey

Jo tere pyaar ney di mohabbat mujhey

Ab kisi bhi mohabbat ki perwah nahi

Tu mila to mili aisi jannat mujhey

Ab kisi aur jannat ki perwah nahi

Ek muddat isi kash ma kash mein raha

Jis ki thi aarzoo baat wo ban gayi

Khawab lagtey hain saarey haqeeqat mujhey

Ab kisi bhi haqeeqat ki perwah nahi

Tu mila to mili aisi jannat mujhey

Ab kisi aur jannat ki perwah nahi

Share this post


Link to post
Share on other sites

meri yadoon pe har ghari ab to bas tera hi pehra hai

mere khayalon mai ab to bas to hi to basa hai

dewanoo ki tarah chahte hai tujh ko

ab to dil bi sirf tere liye hi dharakta hai

meri har saans leti hai tera naam

ab to tasawarro mai bi tera hi chahra hai

mere haathon mai tere naam ki mehndi rache

ab to palkoon pe yahi sapna saja ke rakha hai

saath ban ke rahe to mera humdum or hamsafer

ab to duaoon mai bi khuda se tujhe hi manga hai

Edited by mein_hoon_na

Share this post


Link to post
Share on other sites

Wah kasho Bhai itnay buray haalat hain aap kay :P

Kaash Yeh Mulaqaat Hi Na Hoti ...

kaash ye mukhtasir si mulaqaat hi naa hoti

gar na ashna hi rehty, tuo phir ye bat bhi na hoti

jo na dekhty tum mujhko, yoon nazar bacha bacha kar

meri zindagi ab aisy, andhery rat bhi na hoti

mumkin tha bhool jaty soghat yar ki

chahat ki teri us main, mithas gar na hoti

sehra ko chorny ka kabhi na sochta

khamosh teri nazar ki ham pe, barsat gar na hoti

jo hai dil pe aaj guzri, kahoon kaisy ay shafiq!

pehly kam theen mushkaleen kia? meri zaat hi na hoti

Share this post


Link to post
Share on other sites

Sab kuch sunna kuch na kehna kitna mushkil hai

Tum se bichar kay zinda rehna kitna mushkil hai

Jin rahoon par saath chaley the har mosam mein sathi

Un rahoon par tanha chalna kitna mushkil hai

Qadmoon ki raftaar se aage waqt yahaan chalta hai

Sheher mein ab logoon se milna kitna mushkil hai

Rashid kitni rahein Badlo paaon behek jaatey hein

Mai khaney se bach ke nikalna kitna mushkil hai

Share this post


Link to post
Share on other sites

Zindagi Sai Ziada ...

Tumhe zindagi se ziyada mai chahta rahon ga

Tere saare gham mai loo ga tere saare dukh sahon ga

Tanha tu jab bhi ho gi waraniyon mai ho gi

Koi bhi na sath ho ga tere sath mai raho ga

Teri baat sunnay wala na agar jahan mai ho ga

Mujhe ek dafa bulana so dafa mai haa kahon ga

Teri chahatain mai poori karon ga kisi bhi tarah

Tujhe saari duniya do ga tere dil mai bas raho ga

Tera dard mai sahon ga teri aaftain mai loo ga

Tujhe sukh hi sukh mai doo ga tujhe gham mai ek na do ga

Tujhe dhoop gar lage gi tera cchaya mai bano ga

Teri manzilon ki janib tera raasta banoo ga

Teri rah ke mai saare kante samet loo ga

Jo koi na de sake ga tujhe pyar aisa doo ga

Har saal january mai tujhe umr ki duayen

Her saal december mai tere sar pe shal do ga

Meri zindagi ka hasil mera daira bhi tum ho

Tere saath mai jiyon ga tere saath mai maroo ga

Share this post


Link to post
Share on other sites

heran hon main ye kon sa dastor_e_wafa hay

tu misl_e_rag_e_jan hay tu kion mujhay say khafa hay

tu ehl_e_naraz hay tu nahin tujh ko khabar kion

pehlo main teray koi zamanay say khara hay

likha hay mera naam sander pay hawa nay

aor dono ki qismat main sakon hay na wafa hay

shikwa nahin mujh ko kay hon mehrom_e_tamanna

gham hay tu faqat itna kay tu mujh say juda hay

hum rakhtay hain dawa kay hay qaboo hamain dil pay

tu samnay ajaye tu ye bat juda hay

gham hay kay musalsal usee shiddat say hay taza

yon kehnay ko is umer ka her lamha naya hay

thehraye usay arsh koi kaisay jafakash

jo mujh say alag reh kay bhi hamrah chala hay

"Ahsan" nahin hay koi yahan ab tu kisee ka

eik teray hi seenay main ye tofan bapa hay

Share this post


Link to post
Share on other sites

Mujhy dar lagta ha

Muhabbat or nafrat dono sy

Mein janti houn k

Jab wafaein damm tortee hain

Arzooein sath chortee hain

Nafrat bhi shaded hoti ha

Ya dar bhi kia ajab hain

Ronay ka dar kabhi hansy ka dar

Khonay ka dar toh kabhi pass lenay ka dar

Tum hi batao?

Mein kia karoun…?

Tumhare muhabbat ki haqdar tehroun?

Ta umar teri hi talabgaar rahoun?

Kaash aisa ho k mery 4 soo rahy teri khushboo

Mein madgham rahoun tujh mein

Aor khuda k siwwa koi dar baqee na rahy

Kash aisa ho k…….

Share this post


Link to post
Share on other sites

Blue Nice> :yes:

Kuon hou udas,Jou muqadar mein nahin who bhi hai mila kia?

Soucho tou, Jou shaks tumhara na tha us kay janay ka gila kia?

Ahmiyat na hou maazi ki jis ki nigahoun mein zara bhi

Kaho phir mango gay us say tum us sab ka sila kia?

Soucho tou, Shajar hi jab zeenat hou kisi aur angan ki

Kabhi phool us shajar ka doosrey angan mein khila kia?

Ishq ki aag mehaz meray hi dil kou jalanay kay lien hai

Batlao tumhi, Iss aag mein kabhi who bhi jala kia?

Kuon dukhi hai jaanay per us kay, aye dil-e-na samajh

Dhoka hi kha ker her baar us say, ab umeed-e-wafa kia?

Share this post


Link to post
Share on other sites

Molajut>>Kuon dukhi hai jaanay per us kay, aye dil-e-na samajh

Dhoka hi kha ker her baar us say, ab umeed-e-wafa kia? zaber10! :yes:

ashk na doon ga kabhi

aik baar mujhay yaad kar lena

jaanta hoon hoti hain misaalain baywafai ki

par aik baar mera aitbaar kar lena

yaad aaye jo meri agar

meri nishani se baat kar lena

waada kia hai lot aaon ga aik din

bas aik baar mera intezaar kar lena

agar na rah sako tum meray bagair

to aik baar mujh se pyar kar lena

dia qismat ne dhoka agar to mujh pe aik ehsaan kar dena

meri qabar pe aake meray liye dua aik baar kar lena.

Share this post


Link to post
Share on other sites

Create an account or sign in to comment

You need to be a member in order to leave a comment

Create an account

Sign up for a new account in our community. It's easy!

Register a new account

Sign in

Already have an account? Sign in here.

Sign In Now
Sign in to follow this  

×

Important Information

We have placed cookies on your device to help make this website better. You can adjust your cookie settings, otherwise we'll assume you're okay to continue.