Niya 0 Posted March 22, 2005 kisi ko ham se hain chand shikwe, kisi ko behad shikayatein hain hamare hisse main sirf apni safaiyaan hain, wazahatain hain qadam qadam per badal rahay hain musafiroon ki talab k raste hawaoon jesi mohabatain hain, sadaoon jesi rafaqatain hain kisi ka maqrooz main nahin per, mere garaibaan per haath sab k koi meri chahatoon ka dushman, kisi ko darkar chahatain hain teri judaiyun k kitne sooraj, ufaq pedoobe, magar abhi tak khalish hai seene main pehle din si, lahoo main wesi hi wehshatain hain meri mohabbat k raazdaan ne yeh keh k lauta diya mera khat k bheegi bheegi si aansoo'on main tamam gunjalak inbaaratain hain main doosroon ki khushi ki khaatir ghubaar ban ker bikhar gaya hoon magar kisi ne yeh haq na mana k meri bhi kuch zarooratain hain Share this post Link to post Share on other sites