sareen 20 Posted February 12, 2013 yea teri jheel si ankhon main ratjagon k bhanwar yea teray phool say chahray pay chandni ki phuwar yea teray lab yea dayar_e_yaman k surkh aqeeq yea aainain si jabin , sajda gah_e_lail o nahar yea be nayaaz ghanain janglon say baal teray yea phoot ti hui sarson ka aks gaalon per yea dharknon ki zuban boltay huay abru kamand daal rahay hain meray khayalon per yea narm narm say hathon ka garm garam sa lams gudaaz jism pay balor ki tahon ka saman yea ungliyan , yea zamurd tarashi shakhain kiran kiran teray daanton pay motion ka guman yea chandni main dhulay paon jab bhi raqs karain fiz main un ginay ghungru chanaknain lagtay hain yea paon jab kisi rastay main rung barsain to mousmon k muqadar chamknain lagtay hain teri jabeen pay agar haadson k naqsh ubhrain mizaaj gardish_e_doran bhi larkhra jayay tu muskurayay to subhain tujhay salam karain tu ro paray to zamanain ki ankh bhar ayay tera khayal hai khushbu ,tera libaas hai kiran tu khaak zaad hai ya asman say utri hai? main tujh ko daikh k khud say sawaal karta hon yea moj_e_rung zameen pay kahan say utri hai main kis tarha tujhay lafzon ka pairhan bakhshon ? meray hunar ki bulandi to sirnagon hai abhi teray badan k khadokhaal meray bas main nahi main kis tarha tujhay sochon ,yahi junon hai abhi milay hain youn to kai runh k haseen chahray main be nayaaz raha moj saba ki tarha teri qasam teri qurbat k mousmon k baghair zameen pay main bhi akaila phira khuda ki tarha magar main shahr e hawadis k sung zaadon say yea aainain sa badan kis tarha bachaon ga mujhay yea dar hai kisi roz teray kurb samait main khud bhi dukh k sumandar main doob jaon ga mujhay yea dar hai k teray tabasmon ki phuaar youn hi wafa ka taqaaza haya ka toor naan hua? tera badan ,teri dunia hai muntazir jis ki main sochta hon mera jan wo koi or naan ho main sochta hon magar sochnain say kia hasil yea teri jheel si ankhon main ratjagon k bhanwar urdu shayari Share this post Link to post Share on other sites