red rose 0 Posted May 6, 2005 Meri ankhoon mein basay ho tum Ek dua ban kar Tumhein zindagi bhar yunhi chahoongi Aitbaar karo Mere hathoon par likha hai tumhara naam Chahat kai rangoon nai Isai dharkan mein basaoongi Aitbaar karo Meri har soch mein shamil hai khayal tumhara Isai sansoon mein rachaongi Aitbaar karo Yun to har pal tum rehtay ho mere hi sath humdum Tumhein saibaaan mein banaoongi Aitbaar karo Hai laboon par mere jo naam tumhara hai Tumhein apna mein banaoongi Aitbaar karo Hain kathin rah-e-wafa janaa to kya hota hai Dil jala kar mein nibhaoongi Aitbaar karo Mujhe tumse hai mohabbat tumhein khabar hai yeh Mein isai zindagi mein laoongi Aitbaar karo Tumhara hi chehra basa hai meri in ankhoon mein Tumhein tabeer banaoongi Aitbaar karo Tumhein pakar ho jai gi sehal zindagi meri Yehi dua bus mangoongi Aitbaar karo Kabhi khawaboon mein kabhi khayaloon mein Kehti hoon tumse yehi Mein zindagi tum sang sajaoongi Aitbaar karo Share this post Link to post Share on other sites