caratamity 0 Posted June 20, 2005 Uss kay Masiha Kay liya Aik Nazm Ajnabi! Kabhi zindagi main agar tu akela ho Aur dard had say guzar jaey Ankhain teri Baat bay baat Ro Ro parain Tab koi Ajnabi Teri Tanhai kay chand ka naram Halah Banay Teri Qamat ka Saya banay Teray Zakhmon pay marham rakhay Teri palkon say Shabnam chunnay Teray Dukh ka masiha banay --------------------------------------------- A dream is a writing, and many writings are just dreams Share this post Link to post Share on other sites