msalman 0 Posted April 21, 2006 Taaqon main sajaya jata hon, Aankhon say lagaya jata hon Taveez banaya jata hon, dho dho kay pilaya jata hon Juz dan Hareer o Resham k aur phool sitary chandi k Phir itir ki barish hoti hay khusbo main basaya jata hon Jaisay kisi toata maina ko kuch bol sikhaye jatay hain Is tarhan parhaya jata hon is tarhan sikhaya jata hon Jab qoal-o-qasam lainay kay liyen takrar ki nobat aati hay Phir mere zarorat parti hay hathon pe uthaya jata hon Dil soz say khali rehtay hain, aankhen hain k num hoti hi nahin Kehna ko main ek ek jalsay main parah parah k sunaya jata hon Ye mere aqedat ky daway aur qanon per razi ghairon k Yon bhi mujhe ruswa kartay hain aaisay bhi sataya jata hon Bakhsish k liyen azizon say tilawat karwaye jati hay Jab koye marnay lagta hay sarhanay per sunaya jata hon Kitnay parhay hain "Quran tum nay" kitnay parhay hain "Quran tum nay" Rasm-e-Qul aur Chelum per shumar karwaya jata hay Bataya gaya hay logon ko bakhsi jayen gi sat pushten Is haseen aqeday per main hifz karwaya jata hon Mulla, Peer, Malang saray yon to meray garweda hain Per ye na samjhen kyon aur kaisay main samjhaya jata hon Kis bazm main mera Zikr nahin, Kis urs main mere dhoom nahin Main phir bhi akyla rehta hon, mujhe sa bhi koye mazloom nahin Share this post Link to post Share on other sites
cooLboY 1 Posted April 24, 2006 Masha'Allah bohat achi lines likhi hain Share this post Link to post Share on other sites