msalman 0 Posted May 10, 2006 Log kehtay hain pani main lakri nahin doobti Aur wajah ye batatay hain Lakri ka apna hajam Chonkay pani ki itni ki hi miqdar k Bilmuqabil zaida nahin Is liyen wo sada Sath-e-aab per rawan rahay gi magar Doobnay ka amal us per ho ga nahin Azal say ye qudrat ka qanoon hay Aur qanoon-e-qudar badlta nahin Per main sochta hon Agar ye haqeeqat main qanoon hay To teray gham k darya main Dil kaisay dooba? Share this post Link to post Share on other sites