Bicharnay Waalay

Bicharnay walay
Chalay jo ho tou bata k jao
K kitni shaamain udaas aankhon main kaat-ni hain
K kitni subhain akelay pann main guzaarni hain
Bata k jao k kitne sooraj..azaab rastoon ko dekhna hai
K kitnay mehtaab.............Sard raatoon ki wus-at-ton se nikaalne hain
Bata k jao k chaand raatoon main waqt kaise guzaarna hai
Khamosh lamhoon main tujh ko kitna pukaarna hai
Bata k jao k kitnay lamhay shumaar karnay hain hijj ratoon k
K kitnay mousam aik aik kar k judaiyoon mein guzaarne hain
Bata k jao k panchiyoon nay akele pann ka sabbab jo poocha
Tou kya kahoon ga?
Bata k jao......Main kis se tera gilla karoon ga
Bicharr k tujh se habbib kis se mila karoon ga
Bata k jao k aankh barsi tou kon moutii chuna karay ga
Udaas lamhoon main dil ki dharkan suna karay ga
Bata k jao k mousamoon ko payaam dainay hain ya nahi hain
Fallk ko,taroon ko,jugnooon ko salaam dainy hain ya nahi hain
Bata k jao k kis pe hai aitebaar karna
To kis ki baatoon pe be-niyazi k silsalay ikhtiyaar karna
Bata k jao k abb ravviyoon ki chaal kiya ho
Jawaab kiya ho,sawaal kiya ho
Arooj kiya ho,zawaal kiya ho
Nighah,rukhsaar,zulff,chehra, Nidhaal kiya ho
Bata k jao k meri haalatt pe chaandani khikhila pari tou main kiya karoon ga
Bata k jao k meri soorat pe tairgi muskara parri tou
Main kiya karoon ga
Bata k jao k tum ko kitna pukaarna hai
Bicharr k tujh se ye waqt kaise guzaarna hai
Ujaarna hai? nikhaarna hai?
Chalay jo ho tou bata k jao
K loutna bhi hai ya................????????
0 Comments
Recommended Comments
There are no comments to display.
Create an account or sign in to comment
You need to be a member in order to leave a comment
Create an account
Sign up for a new account in our community. It's easy!
Register a new accountSign in
Already have an account? Sign in here.
Sign In Now