Jump to content
CooLYar Forums - A Friendly Community by CooLYar

junaidrauf

Members
  • Content count

    405
  • Joined

  • Last visited

Everything posted by junaidrauf

  1. junaidrauf

    Jobs

    There is a job regarding International Trading and Marketing. Fresh graduates are required as well Masters. Contact Mr Junaid 0333-3626725 for your interview time and date. Laste date of respond is 30th April. 2007 junaid.rauf@hotmail.com
  2. junaidrauf

    Woh Jo Hum Mein Tum Mein

    Woh jo hum mein tum mein Qaraar tha tumhein yaad ho k na yaad ho Wohi yaani Wada Nibah ka tumhein yaad ho k na yaad ho Woh Naye gily Woh shikaayatein Woh mazy mazy ki Hikayatein Woh har ek baat pay Ruthana tumhein yaad ho k na yaad ho Koi baat aisi agar hoi jo tumhare ji ko buri lagi To bayaan se pahale hi bhulana tumhein yaad ho k na yaad ho Suno zikr hai kai saal ka koi Wada mujh se tha aap ka Woh Nibaahane ka to zikr kya tumhein yaad ho k na yaad ho Kabhi hum mein tum mein bhi chaah thi kabhi hum se tum se bhi Raah thi Kabhi hum bhi tum bhi thay Ashna tumhein yaad ho k na yaad ho Hue Ittefaq se gar baham Woh Wafa jataane ko dam-ba-dam Gilaa-e-malaamat-e-Arqabaa tumhein yaad ho k na yaad ho Woh jo Lutf mujh pay the beshtar Woh karam ke Haath mere Haath par Mujhe sab hain yaad zara zara tumhein yaad no k na yaad ho Kabhi Baithe sab hain jo Roo-ba-Roo to Ishaaraton hi se Guftaguu Woh Bayaan Shauq ka Baramalaa tumhein yaad ho k na yaad ho Woh Bigarnaa Wasl ki Raat ka Woh na maanana kisi Baat ka Woh nahin nahin ki har aan Ada tumhein yaad ho k na yaad ho Jise Aap Ginty thay Ashna Jisy aap kahaty thay Ba Wafa Mein Wohi hun Momin-e-Mubtala tumhein yaad ho k na yaad ho
  3. junaidrauf

    Woh Jo Hum Mein Tum Mein

    wah ji wah
  4. junaidrauf

    Woh Jo Hum Mein Tum Mein

    Again i say Thanks alot Aap ka Ahsan yeh hum kaisse chuka paien gay Jhomain gay Nachain gay Gain gay yeh 5 Sitary jo mil gaye hain humain Ub Asman par kaisse laggain gay Kiyun ji kaissa?
  5. junaidrauf

    Acha Laga

    Wah kiya baat hai Hum ko bhi bohat acha laga
  6. junaidrauf

    Zindagi

    Mein bhi Chup Hojaunga Bujhti Shammok Saath or Kuch Lamhy Thehar Aye Zindagi Aye Zindagi Jab Talak Roshan hain Ankhon k Afsurda Taqchy Nilgun Honton se Phooty gi Sada ki Roshni Jism ki Girti Hoi Deewar ko Thammy hoye Mausam k Bu't Atishi Chehry Sulagti Mooratain Meri Binai ki Yeh Makhlook Zinda hai Abhi or Kuch Lamhy Thehar Aye Zindagi Aye Zindagi Meri Tahreerain Dhuwain ki Ringti Parchaiyan Jin k Paikar Apni Awazon se Khali hai Kaho Mehaw Hojane to day Yadon se Khwabon ki Tarahn Ruk to Jaien Akhri Sanson ki Vahshi Andhiyan Phir Hatta Laina Mere Maathy se Tu bhi Apna Haath Mein bhi Chup hojaunga Bujhti hoi Shamon k Saath Or Kuch Lamhy Thehar Aye Zindagi Aye Zindagi!!!!!!!!!!!!
  7. junaidrauf

    Zindagi

    Shukkriya
  8. junaidrauf

    Us Waqt Teri Yaad Aati Hai

    Very Nice Kiran Lovely Poetry woh Special Person jo bhi hai Bohat Lucky hai
  9. junaidrauf

    Mairay Dard Ki Jo Dawa Keray !

    Nice Sharing Kiran Kabhi kabhi aas pass hota hai magar hum samjh nahi paty kuch aai samjh?
  10. junaidrauf

    Chand

    Germany mein????????????????????
  11. junaidrauf

    Jee Chahta Hai

    Nice work
  12. junaidrauf

    Zinda Rahain To Kiya Hai

    Zinda rahein to kyaa hai jo Mar jaien ham to kyaa Duniyaa mein Khaamoshii se Guzar jaien ham to kyaa Hasti he Apani kyaa hai Zamaane ke saamane Ek Khwaab hai jahaan mein Bikhar jaien ham to kyaa Ub kaun Muntazir hai hamare liye Wahan Shaam aagai hai LauT k Ghar jaien ham to kyaa Dil ki Khalish to saath rahegi Tamaam Umr Dariya-e-Gham ke Paar utar jaien ham to kyaa
  13. junaidrauf

    Yun Na Mil

    Shukkriya
  14. junaidrauf

    Yun Na Mil

    Yun na Mil Mujh say Khafa ho jaise Saath chal Mauj-e-Saba ho jaise Log yuN dekh kar Hans dayty hain Tu mujhy Bhool gaya ho jaise Ishq ko Shirk ki Had Tak na barha Yun na Mil Hum say Khuda ho jaise Maut bhi aai to iss Naaz kay saath Mujh pay Ehasan kiya ho jaise Aise Anjan bany baithy ho Tum ko kuch bhi na pata ho jaise Hichkiyan Raat ko aati he rahin Tu nay phir Yaad kiya ho jaise Zindagi beett rahi hai DANISH Ek bay Jurm Sazaa ho jaise Yeh zara zara si baat par Tarha Tarha kay Azab kiyon Jo kisi se bhi khafa na ho mujhe uss Khuda ki Talash hai Mujhe Larzishun pay har Ghari koi Tokta hai baar baar Jise kar kay Dil ko Dukh na ho mujhy uss Gunah ki Talash hai Dhoondhta hun woh Khizaan Jisey Gulshanon se Pyaar ho Jise kar kay Dil ko beyr na ho mujhe us Hawa ki Talash hai Mujhe uss Nagar ki hai Justuju jahan koi bhi chahta nahi Lahoo Jahan Hirun ko Shair say Dar na ho mujhy uss jaga ki Talash hai Yahan ik lamhe ke pahroon mein mere Sary Phool Jhulas gaye Ab jahan Talkhiyun ki Tapish na ho mujhy uss Fiza ki Talash hai Bina Humsafar kay koi kab Talak Musafatoon mein laga rahe Jahan koi kisi se juda na ho mujhe uss Raah ki Talash hai Husan kadoon ke shor se meri Samaattain hain Ajnabi Ho jiss Pukaar mein Mukhlisi mujhy uss Sada ki Talash hai Mujhe dekh kar jo Aik Nazar mere Sary Dard Samajh sakay Jo iss Qadar ho Chaaraga mujhe uss Nigah ki Talash hai
  15. junaidrauf

    Woh Jo Hum Mein Tum Mein

    Aap k ahsan k bojh taly hum to dab gaye hain Kiran bohat ahsaan hai aap ka
  16. junaidrauf

    Tum Mere Kiya Ho

    Thanks
  17. junaidrauf

    Tum Mere Kiya Ho

    Tum Merey Kia Ho??? Jo mujh say poocha hay aaj tum nay Kah mein tumhara hoon kia? batawo? To khud he socho,Tum ek pal ko Bhala mein kaisay tumhein batawoon Hay tum say mera wohee talluq Jo sa_ay say hay shajer ka Wohee jo khursheed say qamer ka Guloon say hota hay jo mehak ka Kisee kee ankhoon kay mast doroon say Us kay mahboob kee jhalak ka Mein hoon badan to tum us kee jaan ho Bahar mosam kee terjamaan ho Lahoo kee zoorat meree ragoon mein Her aik lamhay mein rawaan dawaan ho Mukeen hoon mein makan tum ho Zameen hoon mein asmaan tum ho Wohee talluq hay tum say mera Jo dill say hoa hay dharkanoon ka Khumar say jo may_kashoon ka Jo shairoon say mah_washoon ka Jo hussan waloon say jalwoon ka Hay zuhad say jo zahidoon ka Jo rastoon say hay manziloon ka Jo manziloon say hay rah_baroon ka Azal say dharti say parbatoon ka Wohi jo sager say sahiloon ka Jo rooh say hay kise badan ka Wohee jo chanda say hay kiran ka Jo baghban say kisee chaman ka Hay guftagoo say kisee dahan ka Jo barishoon say zameen ka hay Ibadatoon ka jabeen say hay Wohee talluq azal say apnay bhi darmyaan Tumhi baharoon kee dilkashi ho Tumhi to ankhoon kee roshani ho Jo such kahoon to mere kushi ho Tumhi ujala,,,,,,,tumhi Saba ho Tumhi arzoo,,,,,,,,,tumhi wafa ho Tamam jazboon kee inteha ho Batawo janaan hay itna kafee? Kah or kuch batawoon Jo ho sakay to khayal rukhna Tumhara mujh say wohee hay rishta Malayeka say jo bandagi ka Jo mernay walay say zindagi ka Sumander ka jo seep say hay Wohi jo ankhoon ka deep say hay Tum Tum Or Sirf Tum
  18. junaidrauf

    Woh Jo Hum Mein Tum Mein

    Thanks Again
  19. junaidrauf

    Tum Mere Kiya Ho

    Shukkriya Miss Jee
  20. junaidrauf

    Main To Mohabbat Hon...!

    Very Nice Sharing
  21. junaidrauf

    Hum Ko Bhi Tamana Thi K Chahe Jate

    Wow My Fav 1 Thx 4 Sharing
  22. junaidrauf

    Kabhi Is Tarah Se Bhi Eid Kar

    Jawab nahi bohat Nice
×

Important Information

We have placed cookies on your device to help make this website better. You can adjust your cookie settings, otherwise we'll assume you're okay to continue.