Jump to content
CooLYar Forums - A Friendly Community by CooLYar

naseema

Members
  • Content count

    200
  • Joined

  • Last visited

Community Reputation

0 Neutral

3 Followers

About naseema

  • Rank
    Junior Member
  1. Tum Rooth jao muj se… Aisa Kabi na karna….. Main ik Nazar ko tarsoon……… Aisa Kabi na karna….. Main Poouch Poouch Harooon… So so Sawal Karon…… Tum Kuch Jawab na do…. Aisa Kabi na karna….. Muj se hi Mil kay hansna…. Muj se hi Mil kay rona…….. Muj se Bichaar Ka ji Lo… Aisa Kabi na karna….. Tum Chand Ban Kr Rehna…….. Hum Dehktay Rahin gay… Tum Kisi Roz Na Niklo.. Aisa Kabi na karna….. Tum chaly jao gay tu Dehkain gay Tumhara rasta.. Tum loat kr na aaoo… Aisa Kabi na karna……
  2. agr kaho to haal dil ka sonaon tum ko? tamam umar samne bithaon tum ko.. Mere zakhmo ka haal pocho agr jaan-e-jaan To ek ek Zakhm ki tafseel sunaon tum ko? Mout ki Neend se b Gehri Ek Neend Hoti hai- Tere Baazuon KA Ho Takya TO Dikhaon Tum ko?? Yahi Duaa Hai K wo Waqt aaye Ek Baar Phir- Tum Jo Rootho To Hath Jor kr Manaaon Tumko? Her Sakhs mein Mujhe Ek Raqeeb Nazar Ata Hai- Bol Ae Mere HUM NAWA... Kis Kis Ki Nazar Se Bachaaon tumko????.
  3. Main apni zaat main taanha nahin hoon tumhara sath bhi koi dosra ha. Passh'a Lafz:Insaan ki zindagi k passh'a lafz uska amal hota ha lihaza kisi insaan ka amal dekh kar ya andaza hota ha k wo kasa ha. Aankho Main: Iziyaaton k tamam lashkar mari aankhon main mara andar utaarkar log bari masoomiat sa pouchtain hain k tumhari aankho ko kya howa. Zindagi k safar main kisi ko itna mat chaho k wo tumhari chahatoon ka qatil or wafaon ka saudagar ban jai. Hamain bhoul jana k ahsaas us waqt hota ha jab hum ko koi bhoul jata ha. Taalash ka wo lamha bara izziyat naak hota ha jab dhoundna wali cheez samnaa ho dekhai na da. Zindagi is tarhan basar karo k dekhnay wal tumharay dard per afsoos karna k bajay tumharay sabar per reshk karay
  4. hum to nazuk hain bilkul kisi ehsas ki tarah- Tum na socho gay humein to hum mar jain gay Pas rho ya dor itna khyal rkhna- k tum na dekho gay to hum mar jain gay- Titliyon mein aur hum mein yahi bat hai mushtrik- pakar k jb choro gay humein to mar jain gay.... Dil ki tehni pe hi khila Rehne do hmari muhabbat ka phool- jab b tehni se toro gay to mar jain gay... kbhi na milna hum se moj e darya ban k- Mil k bichro ge hum se to mar jain gay.
  5. Phir aaj koi Ghazal Tere Naam na ho jaye Aaj kahin likhte likhte Shaam na ho jaye Kar raha hon Intizar Tere Izhar-e-Mohabbat ka Isi Intizar main Zindagi Tamam na ho jaye Ab to nahi leta Tera Naam Sar-e-Aam is Darr se Kahin Naam Tera Badnaam na ho jaye Mangta hoon Duaa jab Tu Yaad aata hai K Judai Mere Pyaar ka anjaam na ho jaye Sochta hoon, Darta hoon Aksar Tanhai mai Us k Dil mai kisi aur ka Maqam na ho jaye
  6. naseema

    Ansoo....

    thanks ramz & khawai :victory:
  7. naseema

    Ansoo....

    KISI KE ANKH KE ANSOO.... MUJHE RONE NAHI DETE.... KISI KE BHEEGTE LEHJE .... MUJHE KHONE NAHI DETE.... KISI KE RESHAMI GESO .... MUJHE SONE NAHI DETE.... MUJHE HAR PAL SATATE HAIN.... MUJHE HAR DAM JAGATE HAIN.... KABHI JO UTH JAO TO..... KISI DAM BHOOL JAON TO.... KISI KI NARM SI AAHAT.... KABHI ANJAAN LAGTI HAI.... KABHI PEGHAM LAGTI HAI.... BHALA SA NAAM LAGTI HAI.... KABHI RONE NAHI DETI.... KABHI SONE NAHI DETI.... MAGAR YEH SACH HAI MERI JAANA.... TUJHE MEIN NE NAHI JAANA.... MAGAR AANSOO JO BEHTE HAI.... JINHE HUM AAM SEHTE HAIN.... BAHUT TAKLEIF DETE HAIN.... KABHI TOOTE JO NAZRON SE.... KABHI CHOOTI JO PALKON SE.... BAHUT HASSAS LAGTE HAIN.... KISI KI AAS LAGTE HAIN.... MAGAR JAB GIR HI JAEIN TO.... ZAMEEN MEIN MIT HI JAEIN TO.... KISI KO KUCH NAHI HOTA.... MAGAR PHIR KUCH NAHI REHTA.... MAGAR JAB HO KABHI AISA.... KISI KE AANKH KE AANSO.... MERI JAB AANKH MEIN AAEIN.... TO PHIR MEIN.... MEIN NAHI REHTA.... MERA PHIR DIL YEH KEHTA HAI.... KISI SIPI MEIN BAND HO KAR.... BANOO MOTI KI SURAT MEIN.... DHALON MITTI KE SURAT MEIN.... KISI KI AANKH KA AANSOO.... BAHE JAB AANKH SE MERI.... LAGA DE AAG HASTI MEIN.... RAHOON PHIR KYON US BASTI MEIN.... JISE SAB LOG KEHTE HAIN.... "MUHABBAT LOK" KEHTE HAIN.... KOI JO AANKH PUR NAM HAI.... KOI JO ZULF BARHUM HAI.... YEH SUB MERI WAJAH SE HAI.... YEH JO AANSOO CHALAKTE HAIN.... MERE DIL MEIN DEHEKTE HAIN.... USSI DUM HUM BEHEKTE HAIN.... MAGAR YEH SARHADEIN JAANA.... HUMARE BEECH MEIN HAAEL.... KAREIN KAISE UNHE KAYIL.... JO HUM KO ROAK DETE HAIN.... MILAN KO JOG DETE HAIN.... YEH AANSOO KAB HUMARE HAIN.... YEH AANSO LOG DETE HAIN.... YEH AANSOO LOG DETE HAIN....
  8. naseema

    "kaha Tha Na!

    thank you v much 'imi.munib
  9. naseema

    "kaha Tha Na!

    "Kaha tha na! Kaha tha na! Mujhay tum iss tarah sootay huay matt chor ker jana Mujhay bayshak jaga daina Bata daina Muhabbat k safar main saath mairay chal nahin saktay Judai main, hijar main saath mairay jul nahin saktay Tumhain rasta badalna hai Mairi hadd se nikalna hai Tumhain kis baat ka durr tha Tumhain jaanay nahin daitay Kahin per qaid ker laitay Array PAGAL! Muhabbat ki tabiyat main zaberdasti nahin hoti! Jissay rusta badalna ho Ussay rusta badalnay se Jissay hadd se nikalna ho Ussay hadd se nikalnay se Na koi rok paya hai Na koi rok paey ga Tumhain kiss baat ka durr tha Mujahy baishak jaga daitay Tumhain hum daikh he laitee Tumhain koi dua daitee Kam-az-kamm yuN nahi hota Mairay Saathi! Haqeeqat hai Tumharay baad khonnay ke Liay kuch bhi nahin baaqi Mager khonnay say durta hoon MAIN AB SONAY SAY DeRTa HOON! MAIN AB SONAY SAY DeRTa HOON!
  10. naseema

    Bhaley Dino Ki Baat Hai

    bhaley dino ki baat hai bhali si ek shakl thii na yeh ke husn-e-tamam ho na dekhney main aam ho na yeh ko woh chaley to kehkashaan sey rehguzar lagey magar woh sath ho to phir bhala bhala safar lagey koi bhi rut ho uski chab fiza ka rang roop thii woh garmyon ki chaon thi woh sardiyon ki dhoop thi na umr bhar juda rahey na sath subah shaam ho na wada-e-wafa pe zor na yeh ke izn-e-aam ho na itni khush libasiyaan ke sadgi gila karey na itni betakallufi ke aayeena haya karey na ikhtilaat main woh ram ke bemaza ho khuwahishain na is qadar supurdugi ke zich karain nawazishain na aashiqui junuun ki ke zindagii azaab ho na is qadar kathor pan ke dosti kharab ho kabhii to baat bhii khafii kabhii sukuut bhii sukhan kabhii to kasht-e-zaafran kabhii udasiyon ka baan suna hai ek umr hai muamilaat-e-dil ki bhii wisaal-e-janfiza to kiya firaq-e-jangusal ki bhii so ek roz kiya hua wafa pe behes chir gayee main ishq ko amar kahoon woh meri zid sey chir gayee main ishq ka aseer tha woh ishq ko qafas kahey ke umr bhar ke sath ko woh bad-tar az hawas kahey shajar, hajar nahiin ke hum humesha pa-ba-gil rahein na dhaur hain ke rassiyaan galey main mustaqil rahein mohabbaton ki wusatain humarey dast-o-paa main hain ke eik dar sey nisbatain sagaan-e-bawafa main hain main koii painting nahiin ke ek frame main rahoon wohii jo man ka meet ho usi ke prem main rahoon tumhari jo bhii soch ho main us mizaaj kii nahiin mujhey wafa sey bair hai yeh baat aaj ki nahiin na us ko mujh pe zuam tha na mujh ko us pe naaz hii jo ahd hii koii na ho to kiya gham-e-shikastagii so apna apna raasta hansii khushii badal diya woh apnii rah chal parii main apnii rah chal diya bhalii si ek shakl thii bhalii si uski dostii ab us kii yaad raat din nahii magar kabhii kabhii
  11. naseema

    Garlic

    thanks emaad and chinky
  12. naseema

    Drink Water On Empty Stomach

    thanks chinky
  13. naseema

    Garlic

    Garlic has been around for centuries and is known and recognized for its medicinal powers. From the earliest times right up until today, garlic has been used for various forms of healing, as well as building strength and endurance. Studies have proved that garlic is best for prevention of heart disease and cancer. In the ancient times garlic has been used to treat everything from leprosy to wounds in both world wars and different other diseases. Garlic for your Heart Studies have shown that garlic aids with circulation by widening blood vessels, thus lowering blood pressure. Garlic works in the body on the platelets, which are the blood clotting cells, making them less likely to stick together and cling to artery walls causing heart attacks. Garlic is also credited with dissolving clot forming proteins that affect the formation of plaque. It is also believed that garlic may interfere with the metabolism of cholesterol and aid with lowering the over all cholesterol count. All these factors lower the risk of heart attack and stroke. Garlic prevents cancer Garlic helps in preventing cancer and kills the growth if cancer cells. Garlic contains allium which is helpful in preventing cancer. Also one component of garlic, alliin, is an antioxidant. Some nutrients, such as selenium, vitamin C, vitamin E, and in particular alliin, scavenge free radicals, the free-roaming, unstable molecules that lead to cell damage and premature aging. Free radicals have also been implicated in the growth of tumors. In laboratory animals, garlic extracts have actually inhibited the growth of cancer cells. Other Benefits of Garlic Garlic helps combat colds and the flu. It is used to treat sore throats, high cholesterol, high blood pressure, atherosclerosis (hardening of the arteries), digestive disorders, bladder infections, and liver and gallbladder problems. It's believed to kill harmful bacteria in the stomach and protect against gastric cancer. It appears to be a potent antioxidant and may boost the response of your immune system. It also works as an anti-inflammatory. Garlic is effective against bacterial, fungal, viral, and parasitic infections. Include Garlic in your diet Garlic comes in many different forms including fresh herb or clove, liquid, oil, powder and capsules. If you find that the pungent odor of garlic is a bit more than you bargained for you can purchase the odorless garlic supplements. But it is best if you get your quota of garlic in food, as it may be more easily absorbed into your system.
  14. DRINK WATER ON EMPTY STOMACH It is popular in Japan today to drink water immediately after waking up every morning. Furthermore, scientific tests have proven its value. We publish below a description of use of water for our readers. For old and serious diseases as well as modern illnesses the water treatment had been found successful by a Japanese medical society as a 100% cure for the following diseases: Headache, body ache, heart system, arthritis, fast heart beat, epilepsy, excess fatness, bronchitis asthma, TB, meningitis, kidney and urine diseases, vomiting, gastritis, diarrhea, piles, diabetes, constipation, all eye diseases, womb, cancer and menstrual disorders, ear nose and throat diseases. METHOD OF TREATMENT 1. As you wake up in the morning before brushing teeth, drink 4 x 160ml glasses of water 2. Brush and clean the mouth but do not eat or drink anything for 45 minute 3. After 45 minutes you may eat and drink as normal. 4. After 15 minutes of breakfast, lunch and dinner do not eat or drink anything for 2 hours 5. Those who are old or sick and are unable to drink 4 glasses of water at the beginning may commence by taking little water and gradually increase it to 4 glasses per day. 6. The above method of treatment will cure diseases of the sick and others can enjoy a healthy life. The following list gives the number of days of treatment required to cure/control/reduce main diseases: 1. High Blood Pressure (30 days) 2. Gastric (10 days) 3. Diabetes (30 days) 4. Constipation (10 days) 5. Cancer (180 days) 6. TB (90 days) 7. Arthritis patients should follow the above treatment only for 3 days in the 1st week, and from 2nd week onwards – daily. This treatment method has no side effects, however at the commencement of treatment you may have to urinate a few times.
  15. naseema

    سکوت قرب می&#172

    سکوت قرب میں اترو تو یاد کر لینا کبھی جو ٹوٹ کے بکھرو تو یاد کرلینا خوشی کے وقت میں چاہے ہمیں بھلا دینا غموں کی راہ جو دیکھو تو یاد کرلینا گنوا نہ دینا کہیں عمر پشیمانی میں خود اپنے آپ سے الجھو تو یاد کرلینا مانا کہ تم گفتگو کے ماہر ہو مگر وفا کے لفظ پہ اٹکو تو یاد کرلینا
×

Important Information

We have placed cookies on your device to help make this website better. You can adjust your cookie settings, otherwise we'll assume you're okay to continue.