msalman 0 Posted May 30, 2008 Aaj dekh laitay hain wus'atain kahan tak hain Dasht aur is dil ki wehshatain kahan tak hain Ik sawal kartay hain har qadam pe ruk ruk kar Dil terey irado'n ki himmatain kahan tak hain Aao jaanch laitay hain dard ko tarazo par Kis ka gham kahan tak hay shiddatain kahan tak hain Kuch aziz logon se pochna to parta hay Aaj kal mohabbat ki qeematain kahan tak hain Aik shaam aa jao khul k hal-e-dil keh lain Kon janey sanson ki mohlatain kahan tak hain (Aitbaar Sajid) Share this post Link to post Share on other sites
msalman 0 Posted May 30, 2008 zabardast salman Thanks alot Nice friend................................. Share this post Link to post Share on other sites