Jump to content
CooLYar Forums - A Friendly Community by CooLYar
Sign in to follow this  
CrystalHeart

Poetry 4 U

Recommended Posts

hello friends....here is some poetry to all of u ..hope u all like it :)

na jane kiun log hathon ki lakeeron par yaqeen rakhte hein

naseeb to unke bhi hote hein jin ke haath nahin hote

Mein Nay Dushman Ko Bhi Ahsaas-E-Mohabbat bakhsha...Merey Apney Mujhay Nafrat Ki Saza Daitay Hain

iss shahray mohabbat mien ajab caal parra hai

hum jasay subak log bi nayaab bohot hain

ab dekh yah hasrat bhari ujrri hoe aankhain

duniya taray baray mein maray khawab bohot thay

dard jab haad say bharha zabt kay ansoo rakhay

hum nay sekha he nahie aankh say roona saein

koi khalay, koi toray , koi chahay tu rakhay

Mard kay hath mein Aourat hai khalona saein

ajab tarang, ajab sarkhushi mien rahta tha

yah kal ki baat hai , dil zindgi mein rahta tha

phir aik shaam barri khamoshi say toot giya

humay jo maan tari dosti mein rahta tha

bohot dinon say nahie apnay dermiya woh shakhs

udas kar kay humay kaha chal diya woh shakhs

chupa liya jissay pattjhar kay zard patton nay

abhi talak hai baharoon pay hukmaraan woh shakhs

i think itna ajj kay liya kafi hai baki pphir kabhi :D

Share this post


Link to post
Share on other sites

arey wow :yes: crstyl heart it was so nice :hi:

mujh par yeh kafie suit karta hia :D

Mein Nay Dushman Ko Bhi Ahsaas-E-Mohabbat bakhsha...Merey Apney Mujhay Nafrat Ki Saza Daitay Hain

Share this post


Link to post
Share on other sites

salam,

hmmmm bohot bohot aache shair hain

mujh per uper se 5th wala aur neeche se 2nd wala fit hota hua nazar aaraha hai

keep posting!

Share this post


Link to post
Share on other sites

Ager Yaqeen Nahin Aata To Azmaye Mujhay

"Ager yaqeen Nahin Aata To Azmaye Mujhay

Woh Aaina Hai To Phir Aaina Dikhaye Mujhay

Ajab Chiragh Hun Din Raat Jalta Rehta Hun

Main Thak Gya Hun Hawa Say Kaho Bhujhaye Mujhay

Main Jis Ki Aankh Ka Aansoo Tha Us Nay Qadar Na Ki

Bikhar Gya Hun To Ab Rait Say Uthaye Mujhay

Bohat Dinon Say Main Un Patharon Main Pathar Hun

Koi Too Aaye Zara Dair Ko Rulaye Mujhay

Main Chahta Hun Kay Tum Hi Mujhay Ijazat Do

Tumhari Terha Say Koi Galay Lagaye Mujhay

Share this post


Link to post
Share on other sites

thanx ruby :)

"Tere liye is DIL main pyaar aaj bhi hai!

Is dil main tera intizaar aaj bhi hai!

Chaho ge ek din tum bhi humein!

Mann main yeh umeed aaj bhi hai!

Pyaar kab tak na karo ge hum se!

Hontoon per yeh sawal aaj bhi hai!

Dil de diya tumhein ek nazar main hum ne!

Pyaar tumhein kya hadh se ziyada hum ne!

Intizaar hai bas tere izhaar ka!

is dil main to iqrar aaj bhi hai!

Chahein ge tujhe yon he umer bhar!

Saath jo mil jaye tera humko!

Kal bhi tujh se mohabbat thi or aaj bhi hai!

Tere liye is DIL main pyaar aaj bhi hai...

Share this post


Link to post
Share on other sites

Well Well Well i know CrystalHeart ki poetry aur app logon ko passand na aay..its not possible :D :friends: just kidding ;)

umair ur collection is :yes: keep posting

RUBY and jadoo thanks u too.

dar-o-baam sab sajja liyaa :flower: , sabhe roshni mein nahaa liyaa

mari ungiliya bi jhulas gien, magar ik charagh jala nahie

mara humsafar jo ajeb hai aur ajeb tar hon mein app bi

mujay manzalon ki khabar nahie :drive: , usay raston ka patta nahie :drive2:

saaher ban kay aankhain khulian tu haqeeqat ka pora sabak dastaan ho giya

yah kiya hai, mohabbat mein ik shakhs ka apna safar raygaan ho giya

beesatay hunr say junoonay talab tak, mein tota hon kasay, tumhay kiya khabar

mein dil ki haadon say jo aagay giya tu ,maray sath gum ik jahaan ho giya

tum ko zubaan day chukay , dil ka biyaan day chukay

aahday wafa ko toor dain, apni mejaal bi nahie

us say kaho kay do gharri , hum say woh aa milay kabhi

maana yah hai muhaal per, itna muhaal bi nahie

koi dastak, koi khushboo, koi aanchal nahie hai

maray humrah koi bi mahrabaan badal nahie hai

mari aankhon mein woh shaheray taheyyar hai kay jis mein

musalsal barishain tu hain magar jal thal nahie hai :crying:

Share this post


Link to post
Share on other sites

Us ada say bhi hoon main aashna tujhey itna jis pey ghuroor hai

Main jiyooon gi tairey baghair bhi mujhey zindagi ka shuoor hai

Jo samajh liya tujhey beywafa to phir is main bhi teri kya khata

Yeh qalal hai mairey dimagh ka yeh meri nazar ka qusoor hai

Yeh jo raat din mairey saath hain wohi ajnabi k hain ajnabi

Woh jo zindagi ki asaas they wohi log hum say bichar gaye

Ahsaas agar ho to mohabbat karo mehsoos

Har baat ka izhaar zaroori nahin lab sayyyyy

Jin ko toofaan say larney ki ho aaadat mohsin

Us insaan ko samandar bhi dua daita hai.......

Baada phir baada hai main zeher bhi pi jaoon qateel

Shart yeh hai koi banhon main sambhaley mujh ko

Apni hathon ki lakeeron main basa lay mujh ko

Main hoon tera naseeb apna bana lay mujh ko

aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya

woh shakhs aik shaam main kitna badal gaya

kuch din to mera aks raha ayeena naqsh

phir yoon huwa k khud mera chehra badal gaya

jab apnay apnay haal pay ham tum na reh sakay

to kiya huwaa jo ham say zamana badal gaya

kadmon talay jo ret bichi thi woh chal pari

us nay churaaya haath to sehra badal gaya

koi bhi cheez apni jageh par nahin rahi

jaatay hi aik shakhs kay kiya kiya badal gaya

ik sarkhoshi ki moj nay kaisay kiya kamal

wo beniaaz saara ka saara badal gaya

uth kar chala gaya koi wakfay kay darmiaan

parda utha to saara tamaasha badal gaya

hairat say saaray lafz usay dekhtay rahay

baaton main apni baat ko kaisay badal gaya

kehnay ko ik sehan main deewar si bani

ghar ki fiza makaan ka naqsha hi badal gaya

shaayad wafa kay khel main uktaa gaya tha woh

manzil kay paas aakay jo rasta hi badal gaya

qayem kisi bhi haal pay dunyaa nahin rahi

tabeer kho gayee kabhi sapna badal gaya

manzar ka rang asal main saaya tha rang ka

jis nay usay jidhar say bhi dekha badal gaya

andar kay mosaamon ki khabar us ko ho gayee

us nobahaar naaz ka chehra hi badal gaya

aankhon main jitnay ashk thay jugnoo say ban gaye

woh muskuraaya aur meri dunyaa badal gaya

apni gali main apna hi ghar dhoondtay hain log

reena yeh kon shehar ka naqsha badal gaya

Share this post


Link to post
Share on other sites

MHN :yes:

Musaffir K Rasstey Badltey Rahey

Muqader Main Chalna Tha Chaltey Rahey

Koi Phool Sa Haath Kandhey Pay Tha

Meray Paaon Sholon Pay Chaltey Rahey

Main Rasttey Main Uljha Raha

Diyey Uski Rahoon Main Jaltey Rahey

Woh Kiya Tha Jissey Hum Ney Thukra Diya

Mager Umer Bher Haath Maltey Rahey

Mohabbat,Adavat,Wafa,Bayrukhi

Kiraye K Gher Thay Badltey Rahey

Suna Hai Unhin Bhi Hawa Lug Gai Hai

Hawaon K Jo Rukh Badlatey Rahey

Lipat K Chiraghoon Sey Hum So Gaey "Khurram"

Hum To Pholon Main Carvatain Badltey Rahey

Share this post


Link to post
Share on other sites

crystal heart >>> urs poetry is :yes: dekho hath hilahila k thak gaya hon itnie achie hia :lol:

mhn >>. so nice :hi:

filhal do shair parey hian woh post kar raha hon :)

Tum poocho aur main na bataun aisay to halaat nahin

Aik zara sa dill toota hai aur to bhi baat nahin

kya soch ker dekty ho ab mery taraf

ab nahi mily ge wo payar bary nazer mery.......

:(

Share this post


Link to post
Share on other sites

salam,

nice collection :star:

sawan yoonhi beeta jaye

nila gagan jab meena barsaye

por por bhegne ko dil machla jaye

dil ko teri yaad sataye

tujh se yeh durri

aur milne se majboori

dil ko kitna jhuslaye tarpaye

aaese main dil

phir sawan kese manaye

tujh bin sawan to aur hi agan lagaye

dil betha teri aass lagaye

AUR APNA SAWAN YOONHI BEETA JAYE

Share this post


Link to post
Share on other sites

ruby >>. thanx :hi: ... so nice posting janab :yes:

wesey aik call karo aa jaye gha :P aur app ka sawan sawan ho jaye gha :lol:

Share this post


Link to post
Share on other sites

Teri yaad bhi bhot hay

"jo dard k sehra me akaila bhi bhot hay,

us k liay deewar ka saaya bhi bhot hay,

dhaika nai kabi tum ne thanhaai me usko,

bichre hoaway logo ko wo roya bhi bhot hay,

kuch tujko mohabbat pe yaqeen tha naa wafa per,

kuch dhuk meri taqdeer me likha bhi bhot hay,

benaayi andhiro se bhala k se bachta,

ek shaks teray hijer me jaaga bhi bhot hay

Share this post


Link to post
Share on other sites

Umair and Ruby well done nice collection :yes:

Hawa Kay Hathoon Ki Mahrabani Say Dar Gay Hain

Yah Phool Khushboo Ki Raygani Say Dar Gay Hain

Humay Bi Rukhsat Ki Rasm Kuch Tu Nebahana Thi

Tumhari Aankhon Mein Aay Pani Say Dar Gay Hain

Yah Teer Jitnay Fizza Mein Aa Kar Tahr Gay Hain

Kisi Parinday Ki Bay Zubani Say Dar Gay Hain

Inhain Bi Darya Mein Apni Khaishti Uttarana Thi

Jo Log Lahroon Ki Sargarani SAy Dar Gay Hain

Yah Hum Jo Shahray Wafa Mein Gum Sum Kharray Howay Hain

Phir Aik Taza Ghalat Bayani Say Dar Gay Hain

Abhi Tu Dil Ko Udas Karti Nahie Hain Shamain

Abhi Say Kiyon Ghum Ki Hukmarani Say Dar Gay Hain

Humay Bi Sahil Pay Geet Likhna Thay Sepeeyon Say

Magar Hawaon Ki Mahrabani Say Dar GAy Hain

BY NOSHI GILLANI

Share this post


Link to post
Share on other sites

thanx crystleheart :hi: so nice colection :yes:

Yad

"dil ki Gahrion se yad kia hey aj main ne tumhe

dil ki tanhaon se yad kia hey aj main ne tumhey

Dil tu tanha tha kab sa lakin

Zamane ki ruswaon se yad kia hey aj main ne tumhey

Kash tum bi hamre hote

Apna banane ki khwahis se yad kia hey aj main ne tumhey

Share this post


Link to post
Share on other sites

Thanks Umair

Dard ki lay madham tu ho

Dound kahein per kam tu ho

Buut sazzi hum jaan gay hain

Likin mitti num tu ho

Umer ka sath kaha manga hai

Phir bi char kadam tu ho

Shaam ka raqs bi ho jay ga

Dhoop ki shidat kam tu ho

Mafilay shab bi saj jay gi

koi sharekay ghum tu ho

Jaan pay hum bi sah saktay hain

Likin aik sitm tu ho

NOSHI GILLANI

Share this post


Link to post
Share on other sites

crystleheart>>> bohut bohut khoob posting thee :hi:

thanx :)

janay kiun

"janay kiun? dil kisi ajnabhi par etabhar karnay laghta hay...

janay kiun? kissi ka hamari zindagi mein aana bahar sa laghta hay...

janay kiun? us sai milnay k baad haar koi ajnabhi saa laghta hay....

janay kiun? chaudwien k chaand mein ankhay us koo dhondhnay laghti hay ....

janay kiun? us k baghair haar mousam kizah kizah saa laghtha hay ...

janay kiun? janay kiun ?hamari soocho mein usi kaa khayal lagha rehtaa hay ....

janay kiun ? haar waqt usi k aanay ka intezarr lagha rehtaa hay ....

janay kiun? uss k becharnay ka khauf lagha rehtha hay ....

janay kiun? kisi sai eik baar mil kar ussi kaa honay ka dil chahtha hay ..

janay kiun? uss par sabh kuch qurbaan karnay ko dil chahta hay ...

janay kiun? uss k sath zindagi basar karnay ko dil chahtaa hay ...

janay kiun? us ki sansoon mein samanay ko dil chahtaa hay ...

janay kiun? us k sang marnay ko dil chahtaa hay ....

janay kiun??????? janay

Share this post


Link to post
Share on other sites

salam,

hmmm nice umair aur crystalheart :star::star::star:

mujhe mehsoos hota hai

mohobat mar nahin sakti

mohobat ek mosam hai

ke jis main khooyab uggte hain

to khooyaboon ki hari shakhen

gulaboon ko bulate hain

inhen khushboo banate hain

yeh khushboo jab humari khirkiyoon per

dastaken de ker guzarti hai

mujhe mehsoos hota hai

mohobat mar nahin sakti :wub:

Share this post


Link to post
Share on other sites

thanx :hi:

so nice once again :yes:

teri yaad

"jaha bhi dekho tu nazar aati ha

kiya jadoo ha tera jo tu mujhe itna yaad aati ha

sitaroo ko neend aati ha jab wo teri aankhein dekhta ha

chand ko sharam aati ha jab who teri shikaal dekhta ha

app se kya gilla kare app se koi gilla nahin

hum app ko bhool jai hum aaise bewafa nahin

mohabbat main tu har jeet hoti ha

lakin jeet ussi ki hoti ha jis ko sachi mohabbat hoti ha

Share this post


Link to post
Share on other sites

salam,

hmmm teri yaad nice :star::star:

gham se begana bana deti hai chahat us ki

main bhala kese bhoola doon yeh inayat us ki

main kabhi kudh se juda us ko na ker payoon gi

meri ek umer ka hasil hai mohobat us ki

Share this post


Link to post
Share on other sites

thanks RUBY and umair....u both doing gra8

bohot araam karna chahti hon

yahe ik kaam karna chahti hon

shaooray aagahi ik almiya hai

issay nelaam karna chahti hon

mein apni umer kay saray assasay

tumhary naam karna chahti hon

tumharay kham_a_khushboo mien rah kar

mein subh_o_shaam karna chahti hon

charaghoon ki hawa say dushmani hai

issay nakaam karna chahti hon

Noshi Gillani

Share this post


Link to post
Share on other sites

Create an account or sign in to comment

You need to be a member in order to leave a comment

Create an account

Sign up for a new account in our community. It's easy!

Register a new account

Sign in

Already have an account? Sign in here.

Sign In Now
Sign in to follow this  

×

Important Information

We have placed cookies on your device to help make this website better. You can adjust your cookie settings, otherwise we'll assume you're okay to continue.