CrystalHeart 0 Posted March 12, 2005 dhodnay jis mein zindgi nikli woh usi shaks ki galli nikli taray lahjay mein kia nahie tha magar sirf sach ki zara kami nikli us ki aankhon ka rang gahra tha aur mein halki saanwali nikli woh jo lagti thi kanch ki guria zarb pernay pay aahni nikli us hawayli mien shaam dhalnay per her darechay say roshni nikli woh hawa tu nahie thi larki thi kis liya itni sar phiri nikli woh taray aasmaan ka kia karti jis ki mitti say dosti nikli umer parda nasheen nahie hoti jab dhalli sir say chandni nikli :) Share this post Link to post Share on other sites
Talaash 0 Posted March 16, 2005 Kahaniyain Ab Badal Gien Hain Jo sach tha ab jhoot ho giya hai Jo in mien soraj bana howa tha woh shab ki tareek wadiyon mien utter giya hai Na koi tahreer jagti hai, na ab koi harf bolta hai na aank raston ko dekhti hai na rah manzil say aashna hai woh sara manzar badal giya hai na ab zubaan ki hathaliyon per dua tharhti hai nakiyon ki howa nay barbaad kar kay rakh dien aanain masoom titliyon ki na ab gulabon mein woh mahak hai jo rah say bhatkay musafiron ko bahar mosam ki bastiyon ka patta battay na ab wafa ki woh bastiyain hain jo thaknay walon, jo apnay piyaron ki rahguzar say bichernay walon ko hosala dain Inhain dua dain yah sari batain kahaniyain hain na ab woh aankhain hain jin mien khawabon kay saray mosam gulaab mosam banay howay thay na ab woh shaamain hain jin mien tari faraab batain rafeeq lagti thein zahan-o-dil ko na ab woh dil hai na dil ki galliyon mein woh lahoo hai jo zindigi ban kay dorata tha jo shairi ban kay patharon mien gudaaz khusboo bakharata tha woh sara manzar badal giya hai na visal ka koi khawab baki na ab woh harfay sukhan raha hai kahaniyain ab badal gien hain tumharay janay kay baad yon hai jo khawab aankhon mein chahaton ka yakeen ban kar tha-her gay thay woh khawab saray bikhar gay hain malaal dil mein utter gay hain na zindigi hai na zindigi mein visaal mosam ki chah koi na shairi hai na shairi mein j o dukh hai iss say panah koi jo sach tha ab jhoot ho giya hai jo in mein soraj bana howa tha woh shab ki tareek wadiyon mein utter giya hai kahaniyain ab badal gien hain :) Share this post Link to post Share on other sites
Talaash 0 Posted March 18, 2005 (edited) Assaman say akhari baat maray paoon chhalni howay magar kahe ruk saka na mara safar mari narsaee kay hath mein na charigh hai, no koi hunr kisi rastay ki Talaash mein hai lahoo lahoo mari chashmay tar mari bay basi kay hesaab mein aa maray KHUDA , mara mutabar koi humsafar koi humsafar :( Edited March 18, 2005 by Talaash Share this post Link to post Share on other sites
khurshid4lov 0 Posted March 26, 2005 KHUSBOO KEH JAZEROUN SEH SITAROUN KI HADOUN TAK ISH SHEHAR MEH SAB KUCH HAI BAS AIK TEHRE KAMI HAI Share this post Link to post Share on other sites
Talaash 0 Posted March 30, 2005 phool kay dil pay zarb kari hai khushboon ki hawa say yari hai hum day katil kay khaal-o-khad pocho hum nay maktal mein shab guzari hai tum jo chaho tu hum palat jain yah safar ab bi ikhtayari hai soo gien shaher ki sabhi galliyain ab maray jagnay ki bari hai shaam ki bay yakeen aankhon mein kayfiyat sari intazari hai visal ko kasay mutabar samjain! hijr ka khoof dil pay tari hai ajj tu dil ki baat kahnay do ajj ki shaam tu humari hai :) Share this post Link to post Share on other sites
iftikhar 0 Posted June 10, 2005 kia mila mohabbat say? khawab ki musafat say visal ki tamazat say roz-o-shab riyazat say kia mila mohabbat say aik hijr ka sahra aik shaam yaadon ki ik thaka howa aansoo Mohabbat say bohat kuch milta ha kabbi kar ka dakan ager sachi huvi tu app ko boaht kuch milla ga Share this post Link to post Share on other sites
Bheegi_Palken 0 Posted June 11, 2005 Asalam_O_Alikum to alli really like her poetry...hope app sab ko bi passand aay gi... i know it is a long poem :D ...but its really nice ..... agar app understand karain tu tab.... zard (yellow) phoolon ki barish magar khawab........ khawab tou khawab hotay hain maray shaour ki aankhon nay jab dekhna sekha tou khawab nahie dekhay khawab dekhnay ki khawaish aur us kay azaab dekhay Mohabbat iss ka tasawar roshan lagta hai magar andahray bhar data hai roh mein viraan kar data hai dil ki basti ko muj say bi phala jurm yahe howa mein nay jab likhna sekha tu phala lafz Mohabbat likha bohot likha kie tarha say likha iss ki khushboo ko aur iss kay tamam rangon ko khud mien abaad kia mein mohabbat ki iss jang mein khobsurti say bikharna aur marna chahti thi Mein nay woh umer apni iss zingdi mein bohot Talaash ki jo titiliyon aur jugnaon ko muthiyon mein kaad kar kay khush honay ki hoti hai guriyon say khilanay aur sahilon per sepiya chun-nay say phelay rait kay gharonday bananay ki hoti hai magar mari zindgi kay sumandar per na sahil hain na sahilon ki hawa bas rait he rait hai............rait he rait aur hawa ka rait say samjota.....! mujhay tu aankhain bachana thein mari aankhon nay dahron dahr aansoo dekhay magar yah ansoo mein nay ra-egaan nahie janay diyain girtay rahay maray dil kay wasee sahra mein bahtay rahay dhanday aur methay dharon ki tarha mujay zindgi karna chahyain thi magar kiya yah koi asi shaa hai jo khud ki ja sakti hai zindgi muj say nahie ho saki aur phir mien aik had par aa kar ruk gie mien iss zindgi kay sath iss ki sharton per iss say ziada agay nahie ja sakti thi mien nay shari ki aur apni shart par ki jasi bi ki mujay us say apnay tamam he rishton per gharoor hai kay yah sab kuch mara hai mara apna us ka nahie jo raston, aur nahr kinaray aastada darakhton per saray shaam do namon ko joor kar aik naam banata hai aur bhool jata hai bhool jana sach say munharf ho jana hai kirdaar say khali ho jana........! mari sari ki sari tanhae yaad rakhnay aur sach bolnay ki saza hai mujhay kuch nahie bhola zard phoolon ki barish say lay kar laho laho karti rasmon aur kasmon tak riwajon aur simajon tak sach jo mara yakeen hai mara emaan hai ab kie tarha ki bataon aur barsaton nay ghaar rakha hai mujhay maray charon taraf bay shumar aankhain hain aur in mein mari aankhain mari apni aankhain sulugti Talaash karti aankhain Talaash karti, zakham khati aankhain aur mien nay tu kabhi in aankhon ko jhapk kar bi nahie dekha janay kiyon aik dharka aik khadsha jahan mien aankh jhapkon gi wohe per hadasa ho ga tulo-ay aftaab ka manzar acha lagta ho ga magar yah tu shab guzarnay par hai na aur mujhay tu shab guzarnay tak aankhon ko charigh rakhna hai mujhay nahie maloom maray sath kisay jagna hai mujhay tu bas yah khabar hai kay Mein jaag rahe hon. :) Walekum Salam & Asslam O Alikum all :) I also like Noshi Gillani's poetry sooo much!!! :D Its really wonderful !!! Share this post Link to post Share on other sites
Bheegi_Palken 0 Posted June 11, 2005 Kashoo bohat khoob :) :flower: Share this post Link to post Share on other sites
Talaash 0 Posted June 11, 2005 walikum salam BP yah u r absolutly right her poetry is wonderful :) HUNR Tum pather ho issi liya tu sheshay jasay logon ko Bas pather kahna jantay ho :) Share this post Link to post Share on other sites
Bheegi_Palken 0 Posted June 11, 2005 walikum salam BPyah u r absolutly right her poetry is wonderful :) HUNR Tum pather ho issi liya tu sheshay jasay logon ko Bas pather kahna jantay ho :) :) Share this post Link to post Share on other sites
Talaash 0 Posted June 22, 2005 sab apni zaat kay izhaar ka tamasha hai wagarna kon yahan paniyon pay chalta hai tamam umer ki naghma garri kay baad khulla! yah shaher apni sama-at mein sang jasa hai ussay bi dhang na aaay ga baat karnay ka mujay bi arzay hunr ka kahan saleeka hai mara wajood hai aur bay shumaar aankhain hain yah sara shaher hai aur iss mien aik chahra hai chhatoon mein dhoop tu rukti hai bhook talti nahie Talaash-ay rizk mein ghar say nikkalna parta hai kaha nahie tha tujay us kay sath sath na chal hawa kay samanay kis ka charigh jalta hai :) Share this post Link to post Share on other sites
iftikhar 0 Posted June 22, 2005 Asalaam -o- alakum bohat achi ha poem ager kohi ur milli tu jaldi bajna mager zeada roona vali na hun :D Allah hafiz Share this post Link to post Share on other sites
Talaash 0 Posted June 22, 2005 yah jo hum safar mein bi ghar sa eik banatay hain rait kay sumandar mein kashtiyain chalatay hain ab kay kis tarha ka yah mosamay visaal aaya titliyon kay hathon say rang urtay jatay hain jin pay fakhataoon kay geet phool bantay hoon aao un darakhton per naam likh kay attay hain phelay sath chalnay say dil ko khooof atta tha aur ab bichernay kay waswasay daratay hain us kay loat aanay ka khawab dekhti aankhain shaam say darechay mein rakh kay beth jatay hain us taraf sumandar kay khoofnak taywar hain aur hum gharondon mein sepeya sajatay hain wahshaton kay sahra mein kon yah batay ga kis ko yaad rakhtay hain, kis ko bhool jatay hain :) Share this post Link to post Share on other sites
iftikhar 0 Posted June 26, 2005 Tum na tu kah dea kah muhabat nahi milli Tum na tu kah dea kah muhabat nahi milli Muj ko tu yah bii kahna kii mohlat nahi milli Nendun kay dass jata huva kohi kuvab daakhe Laken dea jalana main fursat nahi milli Tuja tu kher saher ka pyar ki fiker tii Ur muj ko appno ka pyar nahi mill bazer yon huva kah tary ahad main haman sab kuch milla kakun ky dolat nahi milli Share this post Link to post Share on other sites
iftikhar 0 Posted June 26, 2005 Bolta kon ha Waqt ka gahoou ko Hizer ka tund tufan ki Baa yakeni laheron main Visal ka kuvab ki dubati naho ko Bolta kon ha Share this post Link to post Share on other sites
Syra 0 Posted June 27, 2005 nice talaash one of mine fav shair of noshi's gillani petry :) tumhi nmain devtaaun ki koi khoobo na thi werna ... kami koi na thi meray andaz-e-paristsih main....... Share this post Link to post Share on other sites
Talaash 0 Posted July 4, 2005 yah siso really nice shair.....yah shair pher ka noshi ka aik aur shair yaad aa raha hai Aik tum he thay, warna admi mohabbat mein Lakh aain dewarain rasta banata hai Uljhan mujay khoof hai woh nibha kay kisi marhallay pay yah aa kay kah day kay ab nahie MARAY DIL KO TARI TALIB NAHIE :) Share this post Link to post Share on other sites
Talaash 0 Posted July 14, 2005 In_ka_shaaf Magar eik umer hum nay zindgi ko zindgi mahsoos karnay ki talib mein ra-e-gaan kar dali :) Share this post Link to post Share on other sites
Talaash 0 Posted July 14, 2005 Kabhi hum bheegtay hain chahton ki taaz barish mein Kabhi barsoon nahie miltay kisi halki si ranjish mein Tumhe mein davaton ki koi khu-bu na thi warna Kami koi nahie thi maray andazay parastish mein Yah phelay soch lo phir aur bi tanha na ho jana Usay choonay ki khawish mein usay panay ki koishish mein Bohot say zakham hain dil mein magar eik zakham asa hai Jo jal utha tha ratoon mein jo loo(roshani) data hai barish mein :) Share this post Link to post Share on other sites
iftikhar 0 Posted July 14, 2005 salaam bohat achi poem zaber 10 Share this post Link to post Share on other sites