sabah 97 Posted December 29, 2011 usney mere haath pakar kar kaha tha k garam haath wafa ki nishani hoti hai aaj mein tanha baith k soch rahi hoon us waqth uske haath sard thei Share this post Link to post Share on other sites
daineee 211 Posted January 14, 2012 Dil k dariya ko kisi roz utar jana hai Itna besimt na chal laut ke ghar jana hai Us tak ati hai to har chiz thahar jati hai Jaise pana hi use asl main mar jana hai Bol ai sham-e-safar rang-e-rihai kya hai Dil ko rukana hai k taron main thahar jana hai Kaun ubharate hue mahatab ka rasta roke Us ko har taur su-e-dasht-e-sahar jana hai Main khila hun to isi khak main milna hai mujhe Vo to khushbu hai use agle nagar jana hai Vo tere husn ka jadu ho k mera gam-e-dil Har musafir ko isi ghat utar jana hai Share this post Link to post Share on other sites