Jump to content
CooLYar Forums - A Friendly Community by CooLYar
sabah

Best Poetry Competition

Recommended Posts

Aslam o alikum

ok listen

Iam starting a

Competition

u must be thinking which kind of

Competition?

so ap loagu ye karn hai k bas apni pasand ki koi b poetry gazal kuch b post kare

chahe wo kisi b topic ka kyon na ho?

bas apku apni pasand ka kuch b post karna hai

pher sab bataye ge kis ki poetry ya gazal best hai koi song k lines nhi hone chahiyen......

5 march tak sab apne apni poetry post kar le..

i hope sab part lenege is mein

asaan sa hai bas

voting kar k pata chal jayega

k koun jeeta

jo part nahi lenge wo vote kar sakte hai.

i hope k sab part lenge

Share this post


Link to post
Share on other sites

ahaan,,, lo phir my fav,...

USY KEHNA YE DUNIYA HY

yahan hr mor per aesy,

bht sy loug milty haen,,

jo andr tk utartay haen,

abad tk sath rehny ki,

ikathay drd sehny ki,

hmesha bat krty haen,

mgr,

jab mosam badalty haen,

MUHABBAT k sabhi daaway,,,

sbhi qasmaen sabhi waaday,,

achanak toot jaty haen,,,

usy kehna ye duniya hy,,

yahan hr shakhs matlab ki haddoon tak..

sath rehta hy,,,

usy kehna ye duniya hy,,

yahan hr mor per apni,,

sada aankhaen khuli rkhna,,

koi kitna b acha ho,

koi kitna b sacha ho,,

mgr,,,,,

AITBAR MAT KRNA

Edited by sho_shweet
  • Like 1

Share this post


Link to post
Share on other sites

greatttttttttttttttttttttttttttttttt shweety

mujhe kab se aisi type ki poetry ki talash thiflower4u.gif

Share this post


Link to post
Share on other sites

shweety mere khayal mein koi nahi lene wala part

Share this post


Link to post
Share on other sites

ye meri taraf se

Ajab Halat they mery Ajab din raat they mery

mager mein mutmaen tha is liye tum sath they mery

mery zar key talabgaroun kii nazrein aisey uthti thein

key lakhoun unglian theen aur hazaroun hath they mery

main ik pather ka gard alud buttt tha inn key mander mein

na dil tha na mery seeney mein na kuch jazbat they mery

kisi sey aur kia taeed ki umeed mein rakhta

wohii khamosh they jo mehram-e-halat they merey

mein jin sholoun mein jalta tha shaed tum bhi nahee samjey

mera dil mukhtalif the, mukhtalif sadmat they mery

mujhe mujram bana ker rakh diya jhutey gawahoun ney

sabhii rad ho gaye jitney bhii ilzamat they merey

tasawar ban giya tasveer akhir aik din sajid

isi ka khauf tha muj ko yahee khadshat they mery

  • Like 1

Share this post


Link to post
Share on other sites

mae ny part li na islye himmat nhi ho rhi kisi ki b muqabla krny ki,,,happy.png

himmat hy to samny aoshowoff.gif

Share this post


Link to post
Share on other sites

haaaaan mujhe b aisa lag raha k humare darse kisi ne part nahi liya

Share this post


Link to post
Share on other sites

ab humara bharam tourne k liye koi maidaan mein aye tu humari khush fehmi dour hona

Share this post


Link to post
Share on other sites

Mujhe ab dar nahi lagta

kisi k door jane se

Ta'luq Tot jane se

kisi k maan jane se

kisi k roth jane se

Mujhe ab dar nahi lagta

Kisi ko azmane se

kisi k azmane se

kisi ko yad rakhne se

kisi ko bhol jane se

Mujhe ab dar nahi lagta

Kisi ko chor dene se

kisi k chor jane se

Na shama ko jalane se

Na shama ko bujhane se

Mujhe ab dar nahi lagta

Akele muskrane se

kabhi ansoo bhane se

Na is sare zmane se

Haqeeqat se fasane se

Mujhe ab dar nahi lagta

Kisi ki na'rasai se

Kisi ki parsai se

Kisi ki bewafai se

Kisi dukh intehai se

Mujhe ab dar nahi lagta

Na to is paar rehne se

Na to us paar rehne se

Na apni zindgani se

Na ik din mout aane se

Mujhe Ab Dar Nahi Lagta............!

Share this post


Link to post
Share on other sites

par winner tu mein hoonbiggrin.png

Share this post


Link to post
Share on other sites

thats like a gud girl flower4u.gif

Share this post


Link to post
Share on other sites

us ka apna hi karishma hai fasoon hai yun hai

yun to kehne ko sabhi kehtay hain yun hai yun hai

jaisay koi dar e dil per ho stadah kab se,

aik saya na daroon hai na baroon hai yun hai

tum ne dekhi hi nahin dasht e wafa ki tasvir

nook e her khaar pe ik qathra e khoon hai yun hai

tum mohabbat main kahan sood o zyaan le aaye

ishq ka naam khirad hai na junoon hai yun hai

ab tum aaye ho meri jaan tamasha karne

ab to darya main talatum na sukoon hai yun hai

naseha tujh ko khaber kya k mohabbat kya hai

roz aa jata hai samjhata hai yun hai yun hai

shairy tazah zamanoon ki hai maimaar FARAZ!

ye bhi ik silsilay e kun fa yakoon hai yun hai.

Share this post


Link to post
Share on other sites

Wo kehti hay usey phoolon ki chahet hay,

Mager jub phool khilney lagtey hain

Wo unko torr deti hay!

Wo kehti hay usey barish ka mosam acha lagta hay,

mager jub barish hoti hay,

Wo kamrey main afsurda si ho ker bund ho jati hay!

Wo kehti hay hawa se ishq hay usko,

Hawa lekin chale jub to,

Wo khirki bund rakhti hay!

Mujhey ab durr sa lagta hay,

Wo jub bhee mujh se kehti hay,

MUJHEY TUM SE MOHOBBAT HAY!

HAAN

MUJHEY TUM SE MOHOBBAT HAY!!!!!!

Share this post


Link to post
Share on other sites

Har Waqt Milti Rahti Hai Mujhe Anjani Si Saza

Main kaise Puchon Taqdeer Say Mera Qasoor kiya hai!!!!!!

Share this post


Link to post
Share on other sites

Ab Unse Door Ka Bhi Waasta Nahi,

Jo Loog Mere Ratjagon Mein Shaamil Thay..

Share this post


Link to post
Share on other sites

Naya ek rishta paida kyun karein hum

Bicharna hai to jhhagra kyon karain hum

Khamoshi se ada ho rasm.E.Duri

Koi humgama barpa kyon karain hum

Ye kafi hai k hum dushman nahi hain

Wafa-Dari ka da’awa kyon karain hum

Wafa, ikhlaas, qurbani, mohabbat

Ab inn lafzon ka peecha kyon karain hum

Suna dain ismat.E.Maryam ka qissa?

Par ab iss baab ko waa kyon karain hum

Zulekhaa.E.Azeezaan baat ye hai

Bhala ghaatay ka sauda kyon karain hum

Hamari hee tamanna kyon karo tum

Tumhari hee tamanna kyon karain hum

Kia tha e’had jab lamhon mein hum nay

To saari umar iifa kyon karain hum

Nahi dunya ko jab parwah hamari

To phir dunya ki parwah kyon karain hum

Barehna hain sar.E.Bazaar to kia

Bhala andhon se pardah kyon karain hum

Hain baashinday issi basti k hum bhi

So khud par bhi bharosa kyon karain hum

Pari rehnay do insaanon ki laashain

Zameen ka bojh halka kyon karain hum

Ye basti hai muslamaanon ki basti

Yahan kar.E.Maseeha kyon karain hum

Share this post


Link to post
Share on other sites

Create an account or sign in to comment

You need to be a member in order to leave a comment

Create an account

Sign up for a new account in our community. It's easy!

Register a new account

Sign in

Already have an account? Sign in here.

Sign In Now

×

Important Information

We have placed cookies on your device to help make this website better. You can adjust your cookie settings, otherwise we'll assume you're okay to continue.