brown_eyes 0 Posted May 3, 2005 Khamoshi Say Bikharna Aa Gaya Hay Hamain Ab Khud Ujarna Aa Gaya Hay Kisi Ko Baiwafa Kehtay Nahi Hum Hamain Bhi Ab Badalna Aa Gaya Hay Kisi Ki Yaad Main Rotay Nahi Hain Hamain Chupchaap Jalna Aa Gaya Hay Gulaboon Ko Tum Apnay Pass Rakho Hamain Kantoon Pay Chalna Aa Gaya hay ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ Arey tum ghairoon ki baat kartay ho Hum nay apnoon ko aazmaya hai Log to kantoon se khaar khaatay hain Hum nay phooloon say dhookha khaya hai. ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ Uss ko chaha bhi to izhaar na karna aaya Lout gaye hum, magar piyar na karna aaya Uss ne maanga bhi tuo hum se, judaai maangi Aur hum thay, humein inkaar na karna aaya ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ cooLboY Share this post Link to post Share on other sites