Jump to content
CooLYar Forums - A Friendly Community by CooLYar
Sign in to follow this  
caratamity

Your Favourite Ghazals And Poems

Recommended Posts

Khuwab Ki TArah Bikhar JAnay ko Jee Chahta Hai

"Khuwab ki tarha bikhar jaaney ko jee chahta hai

aisi tanhai k mar jaane ko jee chahta hai

doob jaon to koi nishan tak na batae

aisi nadiya mai uter jaane ko jee chahta hai

ghar ki wehshat se larazti hon magar jaane q?

shaam hoti hai to ghar jaane ko jee chahta hai

Khuwab ki tarha bikhar jaaney ko jee chahta hai

aisi tanhai k mar jaane ko jee chahta hai

:yes::yes: Gr8 Sharing.

Ghair say Tera Aashna Hona

Goya Acha hua Bura Hona

nasha-e-Lazzat -e- Gunah kay Baad

Sakht Mushkil hAi Parsa Hona

Admi Ko Khuda Na dikhlaey

Admi Ka Kabhi Khuda Hona

Dil Ki Baaton Peh Kon Jaey Fraaz

Aesy Dushman Ka dost Kia Hona

---------------------------------------------------

Mehboob woh hota hai jis ka 'Na Theek' bhi 'Theek' Lagay.

Share this post


Link to post
Share on other sites

Aa Gai Fasl-e-Sakoon Chaak Grebaan Walo

Sil Gaey Hont, Koi Zakhm Silay ya na Silay

Dosto, Bazm Sjao keh Bahaar Aey Hai

Khil Gaey Zakhm, Koi Phool Khilay ya Na Khilay

------------------------------------------------

Mehboob woh hota hai jis ka 'Na Theek' bhi 'Theek' Lagay.

Share this post


Link to post
Share on other sites

These Have Become My Favourite lines ...........In these days

Kuch khuwaab hain jin ko likhna hai

Tabeer ki surat deni hai

Kuch log hain ujrre Dil wale

Jinhain apni Mohabbat deni hai

Kuch Phool hain jin ko chunna hai

Aur haar ki surat deni hai

Kuch apni neenden baaki hain

Jinhain baant na hai kuch logon main

Aey umer-e- rawaan ahista chal

Abhi bohat sa Qarz chukaana hai

Share this post


Link to post
Share on other sites

SALAM.

GOOD SECTION.

MAY BE AP LOGO NA PEHLEY BHE YE MERI POST MAIN DEKHI HO.MEREY BEE ESS

SECTION MAIN GHAZAL KE NAME SE POST HAIN.

YE MASHGALA HAI KESEY KA

NA JANEY KYA CHAEE

NA FASSLO KO METAEE

NA FAILSLA CHAEEE

HAZAROO DOBATEY HUM NE

BACHA LEYE LAKIN

OSSEY MAIN KAISEY BACHAOO

JO DOBNA CHAEE

YEH MASGHAALLA HAI KESE KA

NA JANEY YA CHYAEE

Share this post


Link to post
Share on other sites

Nice Achi Bachi

thanx for sharing.

Raz-e-Ulfat chupa kay Daikh liya

Dil Bohat kuch jlaa Kay Daikh liya

Aur kia daikhnay ko Baqi hai

Aap say dil laga key daikh liya

Wo meray ho kay bhi meray na huay

Unn ko apna Bnaa kay daikh liya

aaj Unn ki Nazar main kuch Hum nay

Sab ki Nazrain Bcha kay daikh liya

Faiz Takmeel-e-Gham Bhi ho na saki

Ishq ko aazma Kay Daikh Liya

Share this post


Link to post
Share on other sites

Mata-e-Loah-o-Qalam Chin Gai to Kia Gham hai

Keh Khoon-e-dil main Dbo Lee hain Unglian' main Nay

Zubaan Peh Muhar Lagi Hai to Kia keh Rakh di hai

har Aik Halka-e-Zanjeer main Zubaan Main nay

Share this post


Link to post
Share on other sites

Bujha Jo Rozn-e-Zindaan' to dil Yeh Samjha hai

keh teri Maang Sitaron' say Bhar gaey Ho gi

Chamak Uthay hain Slasil to hum nay jaana hai

keh Sahar Ab teray rukh par Bikhar Gaey Ho gi

Garz Taswwar-e-Shaam-o-Sehar main Jeetay hain

Girift-e-Saeya-e-Dewaar-o-dar main Jeetay hain

Share this post


Link to post
Share on other sites

Iss Dil kay jhrokay main' ek Roop ki Raani hai

Uss roop ki Raani ki Tasweer bnanni hai

Hum ahl-e-Muhabbat ki Wahshat ka wo darman' hai

Hum ahl-e-Muhabbat ko aazar-e-Jwaani hai

Han' chand kay Dagon' ko Seenay main' Chupaatay hain'

Dunya kahay Deewanaa-Dunya Deewani hai

Ek baat magr hum bhi Poochain' jo ejaazat

Kyun tum nay yeh gam day kay pardais ki Thani hai

Sukh lay kay Chalay jaana, dukh day kay chalay jaana

Kyun Husn kay maaton' ki yeh reet Puraani hai

Hadya-e-dil-e-Muflis ka Chay Shair Ghazal kay hain'

Qimat main' to halkay hain' , Insha ki Nishaani hai

Share this post


Link to post
Share on other sites

Create an account or sign in to comment

You need to be a member in order to leave a comment

Create an account

Sign up for a new account in our community. It's easy!

Register a new account

Sign in

Already have an account? Sign in here.

Sign In Now
Sign in to follow this  

×

Important Information

We have placed cookies on your device to help make this website better. You can adjust your cookie settings, otherwise we'll assume you're okay to continue.