junaidrauf 0 Posted November 3, 2006 Yun na Mil Mujh say Khafa ho jaise Saath chal Mauj-e-Saba ho jaise Log yuN dekh kar Hans dayty hain Tu mujhy Bhool gaya ho jaise Ishq ko Shirk ki Had Tak na barha Yun na Mil Hum say Khuda ho jaise Maut bhi aai to iss Naaz kay saath Mujh pay Ehasan kiya ho jaise Aise Anjan bany baithy ho Tum ko kuch bhi na pata ho jaise Hichkiyan Raat ko aati he rahin Tu nay phir Yaad kiya ho jaise Zindagi beett rahi hai DANISH Ek bay Jurm Sazaa ho jaise Yeh zara zara si baat par Tarha Tarha kay Azab kiyon Jo kisi se bhi khafa na ho mujhe uss Khuda ki Talash hai Mujhe Larzishun pay har Ghari koi Tokta hai baar baar Jise kar kay Dil ko Dukh na ho mujhy uss Gunah ki Talash hai Dhoondhta hun woh Khizaan Jisey Gulshanon se Pyaar ho Jise kar kay Dil ko beyr na ho mujhe us Hawa ki Talash hai Mujhe uss Nagar ki hai Justuju jahan koi bhi chahta nahi Lahoo Jahan Hirun ko Shair say Dar na ho mujhy uss jaga ki Talash hai Yahan ik lamhe ke pahroon mein mere Sary Phool Jhulas gaye Ab jahan Talkhiyun ki Tapish na ho mujhy uss Fiza ki Talash hai Bina Humsafar kay koi kab Talak Musafatoon mein laga rahe Jahan koi kisi se juda na ho mujhe uss Raah ki Talash hai Husan kadoon ke shor se meri Samaattain hain Ajnabi Ho jiss Pukaar mein Mukhlisi mujhy uss Sada ki Talash hai Mujhe dekh kar jo Aik Nazar mere Sary Dard Samajh sakay Jo iss Qadar ho Chaaraga mujhe uss Nigah ki Talash hai Share this post Link to post Share on other sites
Sahil Jehan 0 Posted November 5, 2006 Ishq ko Shirk ki Had Tak na barha Yun na Mil Hum say Khuda ho jaise bohatt khoob. Mujhe Larzishun pay har Ghari koi Tokta hai baar baar Jise kar kay Dil ko Dukh na ho mujhy uss Gunah ki Talash hai bohat khoobsorat intekhaab.khush rahiyee. Share this post Link to post Share on other sites