junaidrauf 0 Posted November 5, 2006 Zinda rahein to kyaa hai jo Mar jaien ham to kyaa Duniyaa mein Khaamoshii se Guzar jaien ham to kyaa Hasti he Apani kyaa hai Zamaane ke saamane Ek Khwaab hai jahaan mein Bikhar jaien ham to kyaa Ub kaun Muntazir hai hamare liye Wahan Shaam aagai hai LauT k Ghar jaien ham to kyaa Dil ki Khalish to saath rahegi Tamaam Umr Dariya-e-Gham ke Paar utar jaien ham to kyaa Share this post Link to post Share on other sites