Dil Hai Pakistani 0 Posted March 10, 2004 Assalm-o-alalikum aap sub ko in this topic u must be confirm(batain) about happiest, saddish, unbelievable, yadgar n that event's of life which u want share with us. Aik dafa ka zikar hai k "mujhe party main jana tha atifaq ye tha jahan party arrangment ki gai thi main wahan 1st time ja raha tha ghar se nikal kar bus main betha kandecter sa kaha flan jaga jana hai kandacter ne kaha flan stop pe main aap ko utar doon ga us stop se flan bus main bethna wo aap ko aap ki manzil par ponchadegi. jab main ne bus change ki to main ne kandecter ko kriya dete howe kaha flan jaga utar dena usne kriya wasool karte howe kaha jee acha. ab aage ki kahani kuch yoon hai k "maine thori der baad pooch bhaie meri manzil aagai jawab mila aage hai ye sawal maine thore thore waqfe(5 se 6min) k baad teen se char dafa dohraya jawab aik he mila aage hai. mujhe hosh jab aaya k jab maine dekha k ye bus doobara wohin ja rahi hai k jahan se maine apna safar shroo kiya tha. maine seat se uth kar poocha k bhai flan jaga nahee aai phir kandecter poochta hai kahan jana hai maine kaha flan jaga usne kaha bhai wo to bohat peeche rehgai. main bus rukwa kar wohee utar gaya. maine is bus main kam az kam aik ghanta safar kiya wahan thori der wait karne k baad aik auto raksha aaya idher bhi ajab itifaq tha k raksha driver ko bhi us jaga ka maloom na tha lakin rakshe wala hoshiyar maloom ho ta tha us ne mujhe rakshe main bethne ko kaha aur pooch pooch kar mujhe mari manzil tak ponhcha diya. main jab wahan ponhcha to main 1.5 ghanta late ho chuka tha lakin mujhe dukh is 1.5 ghante ka dukh nahee tha mujhe apne app per aur apne kum knowledge rushk aaraha tha k mujhe bewaqoof banaya gaya. main apne app ko kos raha tha aur main apne aap ko dunya ka sub se bewaqoof insaan samajh raha tha kion k jahan se main doosri bus main betha tha wahan se us jaga ka fasla sirf itna tha k agar main pedal bhi chalta to wo fasla ziyada se ziyada do minuts(2min) ka tha Share this post Link to post Share on other sites
Dil Hai Pakistani 0 Posted March 10, 2004 Is topic main achhe achhe event's likh kar enjoy karne ka moqa dejiye shukriya Share this post Link to post Share on other sites
ariba 0 Posted March 10, 2004 Wa alikum salam AWWaaaa yeah tou bohut bura hua.....lakin chalein agar yeh na hotta tou app yeh topic kaise shuru karte??? :P waqya???....likhonn gi jald Inshallah Share this post Link to post Share on other sites
rukh 25 Posted March 10, 2004 (edited) ...chaloo koi bat nahi isee bahnay app nay bus or auto kay jhoolay kha leye jub zindgee main pehlee dafa mainy public bus main saffer kia ...main had say zyada preshan or ghabra rahee thee.. or her stop per lag raha tha kay mera stop agya hay ..ya mara stop peechay reh gya hai akhir maini bus ko rukwaya or uter gayee ...or bus agay chalee gayee ... or uternay kay bad pata chala main ik stop pehlay uter gayeen hoon .phir main paidal chal chal ker apnay stop tak pohnchee yeh koi hansnay ki bat nahi hai ..main itna thak gayee thee :( ..ifsos kerain mujh say app sub Edited March 10, 2004 by rukh Share this post Link to post Share on other sites
umair.zm 0 Posted March 10, 2004 yahan sab ke zikir bus se kyoon shrooo ho rahey hian :P Share this post Link to post Share on other sites
sanum 0 Posted March 10, 2004 Umair>>.tu aap airoplane se karain na zikar :D roka kis ne hai <_< PHpakistani>>> aap ke waqeay se mojhay bhi ek baat yaad agaey B) ek dafa pakistan me hi hum sab family members kisi k ghar ja rahay thay aur unka address nahi pata tha :( mere father ne ek sahib se pocha k aap ko yeh pata maloom hai...us ne baray confidence se bataya k sedhe ja kar left turn lay lain...... aap ko matloba ghar mil jaey ga..........jab hum sedha sidha gaey tu wahan koi left turn nahi tha balkay agay red colour walli dewaar hamara istaqbaal kar rahi thi Share this post Link to post Share on other sites
sidd 0 Posted March 11, 2004 yaar DHP bhai pehlay hi auto ker letay :) khair yeh tu hum Pakistanion ki khasyat hai apnay zara say fayeday ki khaatir doosron ka baray say bara nuqsaan kernay say nahin chooktay :( In love, " S I D D " Share this post Link to post Share on other sites
umair.zm 0 Posted March 11, 2004 merey ziikir bohut bohut barey barey hian :P yahan porey nahien aa saktey ;) Share this post Link to post Share on other sites
Dil Hai Pakistani 0 Posted March 12, 2004 welcome umair>aap k zikr bohat bohet buray burey hain han hona bhi chahiyain aakhir aap airoplane bhi to use karte ho.ager burey hain to koi bat nahee lakin hum un pe bhi enjoy karne ki koshish karain ge aap likhye to sahi rukh>jhoole to maine kha liye lakin bhula nahee paonga in jhoolon ko aakhir namak halal hain saamia>aakhir ye bhi to humari khush qismati hai k aap ki bhi yad taza ho gai. ariba>zaroor likh na yad se humari doa hai k aap ka event sub se acha ho mera matlab hai k jis se hum ziyada enjoy kar sakain o.k thank u guys Share this post Link to post Share on other sites
Dil Hai Pakistani 0 Posted March 12, 2004 mujhe phir aik aur waqiya yad aaraha hai Allah deta hai to chhaper phar k deta hai ye college life ki baat hai yeny k do sal pehley ki k jub mera ist year main admission howa tha aur maine college jane k liye bycicle purchase ki thi aaj 1st ka college main last din tha aaj chutti bhi jaldi ho gai main apne duniya main gum bicycle k maze lata hoa apni manzil ki taraf bad raha tha mujhe hosh jab aaya k jab main aur neri bicycle zameen par pade kisi hamdard aankho ko talash kar rahi thi aisa bhi khush naseeb logon k saath hota hai howa kuch istara k meri bicycle k agla wheel road per chehal qadmi kar raha tha aur meri khush qismati thi k main apna paras bhi gher bhool aaya aur abhi to aadha safar bhi baqi tha such kehte hain log k Allah deta hai to chhaper phad ke deta hai. Share this post Link to post Share on other sites
fati 0 Posted March 12, 2004 main in waqayat pe kush houn ya afsoos karoun :) :( chalo donon sahi.... nice topic dhpk.. long nick. itna kafi hai :) mujhay bhi aik waqaya yaad a raha hai.. jo meray sath tu nahi hoa.... na hi maine khud dekha... meray papa na mujhay bataya... when papa was in college.... unke aik teacher tha maths ke... wo parhatay tu bohat acha thay... magar thoray normal nahi thay... kuch problem thi... kehlo bhudhoo thay.... larkoun ne aik dafa unhain kaha ke sir desk per char jain.. aur wo chur gaiy.... main ya sun ke bohat hairan hoi. magar aisa hoa tha.... phir jab wo desk per char gaiy to larkoun ne kaha sir fan pakar lain.. aur unhounne pakar liyaaa. :o .. but its reality. wo normal nahi thay.. but was a great mathematican.. khair phir larkoun ne kiya kiya.... nechay se desk hata diya.... can u imagine.. just visulize. he was a teacher.. khair desk foran rukh bhi diya.... meray liya ya waqaya na sirf hairankun bulkay bohat afsurda... i felt so sad after hearing this ke khana bhi sahi tarah khaya nahi gaya.... itni girihoi harqat.... ustad ki tu bohat azit hoti hai.. aur aisa humilating behaviour... Share this post Link to post Share on other sites
SLLeepyism 0 Posted March 12, 2004 accha to waqia sunana hay hmmmmm maray pass waqia to nahi haa waqiasssssssss buhut saray hay q k ma ghar sa nikalta hu to koi na koi waqia zaroor hojata hay ab to soach raha hu koi book likh hi daloo khud par aaj ma aap ko aik wakia bata raha hu jo ka maray sath karachi ma paash aaya hua yu k aik din papa hum sub ko quaid-e-aazam ka tomb par laagay.ya us waqt ki baat hay jub ma aik choata sa baby tha ab itna bhi choata nahi magar kaafi choata khair waha mazar ka ird gird aik jangla"grill" laga hua hay sub dua mang rahay thay ma na soacha ya andar kia hay kareeb sa dakhna chahiyaa so ma na apna sar janglay ka andar ghussa dia magar afsoas aur mary kismat ka mara sar waha phans gaya ab ma na pahlay to khoob koshish ki sar nikalnay ki magar jub himmat answer da gai to ma na yu zoar sa rona start kia ka kabar ma soyaa huyaa quai na bhi soacha hoga ka ya allah ma na pakistan q aazad karwaya khair maray papa navy ma officer thay isi liyaa bari mushkil sa on soldiers na mara sar khanch kar bahir nikaala aaj bhi mujhay yaad hay ma na os soldier sa poocha tha k agar mara sar nahi nikla to phir os na mujh sa kaha tha ka phir tara sar kaat kar elfy sa phir chipka doonga :( Share this post Link to post Share on other sites
umair.zm 0 Posted March 12, 2004 dil hai pakistani bhaie app enjoy karo main chota sa break le kar hazir hota hon Share this post Link to post Share on other sites
fati 0 Posted March 13, 2004 aww slleepy so sad... meray sath aik dafa hoa tha. bulkay maine khud kia tha.. main shaid saal ki thi. hum loog dinner karnay hotel gaiy.. jaisay hi waiter ne khana serve kia. maine rona shuru ker diya... mujhay tu yaad nahi hai.. magar papa batatay hain... itna royi ke majboran khana khaiy bagar sab ko wapis ana para....... kitni dehshat thi meri .. Share this post Link to post Share on other sites
mein_hoon_na 0 Posted March 13, 2004 fati ye app ki nahi waiter ki dehshat thi jis ko dekh ker app nay rona shuro kia hehehehehehehehe Share this post Link to post Share on other sites
fati 0 Posted March 13, 2004 o waqai ya bhi ho sakta hai.. well said mhn Share this post Link to post Share on other sites
Dil Hai Pakistani 0 Posted March 18, 2004 umair>abe sharma q raha hai yar apne hi bande hain koi comment nahee kare ga main to bilkul bhi nahee karonga bus to sharma nahee bata de agar kisi ladki ko chheda hai aur us k jawab main jo bhi mila hai bata de sharma nahee koin k jis ne ki sharam us k phoote karam aur phir ye role to unka hai fati>gr8 yar aap ne aik sal pehle k waqiye chhod diye us aik sal main to aap ne apne parents ko bohat tang kiya hoga kuch us main se bhi ho jaye yar aur aap k is waqiye se pata lagta hai k aap kini ziddi hain k main nahee kharahee to kisi ko bhi khane nahee dongi. Slleepyism>aap khud try kar k dekhain kiya pata aisa ho jaye Share this post Link to post Share on other sites
umair.zm 0 Posted March 18, 2004 yar aik dafa ka zikir main jaa raha tha aur jaa raha tha main jaa raha tha main jaa raha tha bas main jaa raha tha main jaa raha tha main jaa raha tha main jaa raha tha main jaa raha tha main jaa raha tha main jaa raha tha AUR BAS JAA RAHA Share this post Link to post Share on other sites
Dil Hai Pakistani 0 Posted May 7, 2004 Helloww! kiya bat hai k aap logon ki zindagi main koi khushgawar evnts nahee aaya ya koi yaad gar lamha nahee aaya kiya koi aisa scene nahee howa k jise aap zindagi bhar nahee bhulla sakain i am very sad aap kaisee society main reh rahe hain app kaise zidagi ko enjoy kar rahe hain k aap k sath koi aisi yadain nahee hain zindagi aik bohat haseen nemat hai plz ise enjoy karain apni zindagi ko khushgawar banain to main aap sub ko dawat deta hoon k aap log apne apne events zaroor share karain kion k abhi hum zinda hain aur ye zinda dil logon k sath hi hota hai geo apne liye Islam k liye geo Pakistan k liye geo thanks & ragards DHP Share this post Link to post Share on other sites