Zaini 22 Posted November 12, 2010 Vote for Best poetry Deadline 20Nov 2010 Shanirockon Meri zindagi tou firaq hai!!!! Meri zindagi tu firaq hai, wo azal se dil mein makee'n sahi wo nigah-e-shoq se door hain, rag-e-jaan se laakh qareeb sahi - hamen jaan deni hai ek din, wo kisi tarah! wo kahee'n sahi! hamen aap kheenchye daar par, jo nahi koi tu hamee'n sahi - sar-e-toor ho, sar-e-hashr ho, hamen intezaar qabool hai wo kabi milen, wo kaheen milen, wo kabi sahi, wo kaheen sahi - na ho un pe mera bas nahi, ke ye ashqi hai, HAWAS nahi mein unhi ka tha, mein unhi ka hon, wo mere nahi tu naheen sahi - mujhe bethne ki jaga mile, meri aarzo ka bharam rahe teri anjuman mein ager nahi, teri anjuman ke qareeb sahi - meri zindagi ka naqeeb hai, nahi door muj se.. qareeb hai mujh uska gham tu naseeb hai! , wo ager nahi tu naheen sahi - jo ho faisla wo sunaaye, usse hashr per na utthaaye jo karen ge aap sitam WAHAN, wo abi sahi, wo yaheen sahi - usse dekhne ki jo lo lagi, tu Qateel dekh he len ge ham wo hazar aankh se door ho, wo hazaar parda nasheen sahi QATEEL SHAFAIE Shahabi Sham-e-firaq ab na pooch aayi aur aake dhal gayi Dil tha ki phir behal gaya jaan thi ki phir sambhal gayi Buzm-e-khayal me tere husn ki shamma jal gayi Dard ka chand bujh gaya hijar ki raat dhal gayi Jub tujhe yaad kar liya subha mehak mehak uthi Jub tera gham jaga liya raat machal machal gayi Dilse to har mamla kar ke chale the saf hum kehne me unke samne baat badal-badal gayi ( Faiz Ahmad Faiz ) Darkbubble zikr-e-shab-e-firaq se wahashat use bhi thi meri tarah kisi se muhabbat use bhi thi mujh ko bhi shauq tha naye chehron ki did ka rasta badal k chalne ki adat use bhi thi us rat der tak wo raha mahw-e-guftagu masruf main bhi kam tha faragat use bhi thi sunata tha wo bhi sab se purani kahaniyan taza rafaqaton ki zarurat use bhi thi mujh se bichar k shahar main ghul mil gaya wo shakhs halanke shahar bhar se raqabat use bhi thi wo mujh se barh k zabt ka adi tha ji gaya warna har ek sans qayamat use bhi thi (MOHSIN NAQVI) Anabia ::Yeh jo raig e dasht e firaq hai:: Yeh jo raig e dasht e firaq hai,Yeh rukay agar Yeh rukay agar tou nishan milay,ye nishan milay K jo faaslon ki saleeb hai Ye gari huwee hai kahan kahan Mere aasman se kidher gaee tere iltafat ki kehkashan Mere bekhabar, Mere baynishan Ye rukay agar tou pata chala Mai tha kis nagar, Tu raha kahan! Keh zaman o makan ki wusetian Tujhay daikhnay ko taras gaeen Wo mere naseeb ki barishain Kisi aur chatt per baras gaeen! Mere char-soo hai wo gubhar e jaan,Wo fishar e jaan Keh khabar nahee mere hath ko mere hath ki Mere khawb say tere baam tak Teri rahguzer ka tou zikar kia Nahee zoofishan tera naam tak! Hain dhuan dhuan mere isthakhwa Mere aansuon mein bujhay huwe mere istakhwan Mere naqsha gar, mera naqsha jaan Isi raig e dasht e firaq mein rahay muntazir.tere muntazir Mere khawb jin k fishar mein Rahi mere haal say bekhabar Teri rahguzar Teri rahguzar k jo naqsh hai mere hath per Magar is bala ki hai teergi Keh kahbar nahee mere hath ko mere hath ki Wo chasm e shoubda saaz thi wo uthay agar Mere istakhwan mein ho roshni Isi aik lamha e deed mein teri rahguzer Meri teera jaan mein chamak uthay Mere khawb say tere baam tak Sabhi manzaron mein damak uthay Isi aik pal mein ho jaawidan Meri arzoo k hai be-karan Meri zindagi k hai mukhtsir Ye jo raig e dasht e firaq , ye rukay agar. (AHMED FARAZ) Urva Wafa mein Aab yeah hunar Ikhtiyaar karna hai.. Woh sach kahay na kahay aaitbaar karna hai.. @};- @};- @};- @};- Yeah tujh ko jaagtay rehnay ka shouq kab say howa ? Mujhay tu khair taira intazaaar karna hai @};- @};- @};- @};- Hawa ke zad mein jalanay hain ansoon kay chiraagh Kabhi yeah jashan sar rah'guzaar karna hai @};- @};- @};- @};- woh muskura kay naye waswasoon mein daal gaya Khayaal tha eh ussay sharamsaar karna hai @};- @};- @};- @};- Misaal e shaakh e barhana khizan ke rut mein kabhi Khud apnay jisam ko bay barg o baar karna hai @};- @};- @};- @};- tairay firaaq mein din kiss tarhaan kattain apnay Keh shughal e shab tu sitaray shumaar karna hai @};- @};- @};- @};- Chaloo yeah ashak hee moti samajh kay baich ayain Kissi tarhaan tu humain rooz'gaar karna hai @};- @};- @};- @};- Kabhi tu dil mein chupay zakham bhi numayaan hoon Qaba samajh kay badan taar taar karna hai @};- @};- @};- @};- Khda khabar yeah koi zid keh shouq hai mohsin Khud Apni jaan kay dushman say payaar karna hai (MOHSIN NAQVI) Zaini Ye ajeeb fask-e-firaaq hai K na lab pay hurf-e-talab koi Na udasioon ka sabab koi Na hajoom-e-dard k shooq main Koi zakham ab k hara hua Na kamaan badast-e-ada hua Na malamat-e-saf-e-dushma'naan Na ye dil kisi say khafa hua Koi taara apnay libaas ka Na hawa nay hum say talab kia Sar-e-raah-guzar wafa berhii Na dia jalanay ki aarzoo Bay'chara ghum-e-doo jahan Na maseeh koi na chara gar Na kisi khayal ki justujuu Na khalish kisi k wisaal ki Na thakan rah-e-mah-o-saal ki Na dimaag-e-ranj-o-bataan Na taalash-e-lashkar-e-nasihaan Wohi aik rang hai shooq hai Wohi aik Rasam hai shehr KI Na nazar main khoof hai raat ka Na fizaa main din ka hiraas hai Pay arz-e-haal-e-sukhan rawaan Wohi hum-sukhan hai rafeeq-e-jaan Wohi hum-sukhan jisay dil kahain Woh Tou YOun BHi Kub Ka Udaas Hai ...........!! Mohsin NaqVi Anus ye shab-e-firaq ye bebasi hain qadam qadam pe udasiyan Mera sath koi na de saka meri hasraten hain dhuan dhuan Main tarap tarap k jiya to kya mere khwab mujh se bichar gaye Main udas ghar ki sada sahi mujhe de na koi taslliyan chali aisi dard ki andhiyan mere dil ki basti ujar gai ye jo rakh-si hai bujhi bujhi hain isi mein meri nishaniyan ye fiza jo gard-o-gubar hai meri bekasi ka mazar hai Main wo phul hun jo na khil saka meri zindagi mein wafa kahan" FaRaZ 1 Share this post Link to post Share on other sites
shahabi 23 Posted November 13, 2010 Best of luck 4 allz Share this post Link to post Share on other sites
shanirockon 1 Posted November 13, 2010 best of lucks all Share this post Link to post Share on other sites
Hoorainraza 38 Posted November 17, 2010 VOTE FOR ANUS Share this post Link to post Share on other sites
Hoorainraza 38 Posted November 21, 2010 Asalam oalikum Voting dakh kar bhot afsos howa .serf 3 Regular mem nay voting main hesa leya hay. shahabi ap k req ka cy members par koi asar nahi howa ONLY :crying: :crying: :crying: Share this post Link to post Share on other sites
Hoorainraza 38 Posted November 25, 2010 :crying: :crying: :crying: :crying: :crying: :crying: Shahabi bhai Result to announance karain. Share this post Link to post Share on other sites
shahabi 23 Posted November 25, 2010 Voting Close now. Result will be announce soon. Share this post Link to post Share on other sites