Jump to content
CooLYar Forums - A Friendly Community by CooLYar
Sign in to follow this  
caratamity

Your Favourite Ghazals And Poems

Recommended Posts

Put your some Favourite Ghazals and Nazmz Here, I start it

Ayaadat

Pat Jhar Kay Mausam Main Tujh Ko

Kon say Phool Ka Tohfa Baijhoon

Mera Aangan Khali Hai

Laken Meri Aankhon main

Naik Duaon Ko Shabnam Hain

Shabnam Ka Har Tara

Tera Aanchal Tham Kay Kehta Hai

Khushboo, geet, Hwaa, Pani Aur Rang Ko Chahnay Wali Larki!

Jaldi Say Achi Ho Ja

Subh-e-Bhaar Ki Aankhain Kab Say

Teri Naram Hansi Rasta Daikh Rahi Hain!

Edited by caratamity

Share this post


Link to post
Share on other sites

Mai tumhari tarah afsanay to nahi likh sakti

ke kahin meri zindagi ek afsana na ban jaye

shayed yehi kahin dil mai ek umeed baqi hai

likhte likhte yeh umeed hi kahin kho na jaye

tumhari narazgee kis se hai, kyun hai .. yeh mai nahi janti

keh yeh asoodgi kahin mera muqaddar na ban jaye

har ate jate shakhs ki ahat chonka deti hai mujhe

sochti hoon kia ho agar yeh ahat tumhari ho jaye

intizaar ke kitne pal kaise kate mai na

mat poocho kahin meri himat jawab na de jaye

ek sawal hai tumse jawab de dena

is se pehle ke hum tumhara sheher chore jayen (how real)

dil ke band darwaze kyun khole tumne

kia hi acha hota agar chore dete tum hame apne haal per

ek jhooti umeed joh daal di hamari jholi mai

is ke saath se kahin zindagi ka saath na choot jaye

BY a very Close friend of mine..

Share this post


Link to post
Share on other sites

Ahl-e-dil aur bhee hain ahl-e-vafa aur bhee hain

aik hum hee naheen duniya say khafa aur bhee hain

kiya hua gar miray yaaron kee zubaanain chup hain

mairay shaahid mairay yaaron kay siwa aur bhee hain

hum pay hee khatam naheen maslak-e-shoreeda-saree

chaak-e-dil aur bhee hay chaak-e-qaba aur bhee hain

sar salaamat hay to kiya sang-e-malaamat kee kamee

jaan baaqee hay to paikaan-e-qaza aur bhee hain

munsif-e-shehar kee vehdat pay na harf aajaye

log kehtay hain kay arbaab-e-jafa aur bhee hain

my all tim fav

Share this post


Link to post
Share on other sites

"dost kiya khub wafaon ka sila dety hai ,

Har aik mor pe aik zaham aik naya dety hai ,

tum say tau kheir ghari bhar ki mulaqat rahi ,

log sadyo ki rafaqat ko bhula dety hai ,,,,,,,,,,

kesay mumkin hai ke duwan bhi na ho aur dil bhi jalay ,

chot partei hai tau , phatar bhi sada dety hai

"

Share this post


Link to post
Share on other sites

@Night Wish Aap Kay Zaq ki daad daini paray gi. :yes:

Meri Dastn-e-Hasrat Woh Suna Suna Kay Roey

Mujhay Aazmanay Walay Mujhay Aazma Kay roey

Koi aisa ahl-e-Dil Ho keh Fasana-e-Muhabbat

Main ussay suna Kay Roaon woh Mujhay Suna kay Roaey

Meri aarzoo Ki Dunya Dil-e-Natwaan Ki Hasrat

jissay Kho Kay Shadmaan Thay Ussy aaj Pa kay roaey

Teri bewafaiyon Par, Teri kaj Adayon Par

Kabhi Sar Jhuka kay Roey, Kabhi Munh Chupa Kay roaey

Jo sunai Anjman main Shab-e-Gham Ki Aap Beeti

Kai Ro kay Muskraey, Kai Muskra Kay Roaey

--------------------------------------------------------------------

A dream is a writing, and many writings are just dreams

Share this post


Link to post
Share on other sites

@Night Wish Aap Kay Zaq ki daad daini paray gi. :yes:

Meri Dastn-e-Hasrat Woh Suna Suna Kay Roey

Mujhay Aazmanay Walay Mujhay Aazma Kay roey

Koi aisa ahl-e-Dil Ho keh Fasana-e-Muhabbat

Main ussay suna Kay Roaon woh Mujhay Suna kay Roaey

Meri aarzoo Ki Dunya Dil-e-Natwaan Ki Hasrat

jissay Kho Kay Shadmaan Thay Ussy aaj Pa kay roaey

Teri bewafaiyon Par, Teri kaj Adayon Par

Kabhi Sar Jhuka kay Roey, Kabhi Munh Chupa Kay roaey

Jo sunai Anjman main Shab-e-Gham Ki Aap Beeti

Kai Ro kay Muskraey, Kai Muskra Kay Roaey

--------------------------------------------------------------------

A dream is a writing, and many writings are just dreams

:yes: gr8 sharing

Share this post


Link to post
Share on other sites

*Baat usoolon kii*

"Dehaktii hai mere andar fasal sholon kii

Tum baat karte ho Barish kii,phoolon kii

Ek ladkii hastii thi chotii chotii baton par

Magar yeh baat pooranii hai kitne salon kii

Amawass mein ek jugnoo takraya tha mujh se

Andhere mein bhi lagtii hai woh baat ujalon kii

Kaise lein bheek mein khushyan,khairat mein duaain

Baat to hai chotii,hai magar usoolon kii "

Share this post


Link to post
Share on other sites

" aik arzoo ,aik dua

tu her aik bat main hans daity hay

aur main is sooch main purh jata hoon

yeh tere sada-o-masoom hansi

aankh ki bhool,samaat ka fasoon

tere aadat ,tera andaz na ho

teray bay-sakhta hansnay ki ada

tere tanhai ki awaz na ho"

Share this post


Link to post
Share on other sites

"***~~~YEH KAB KAHA THA K NAZAROON SEY KHOUF ATA HAI***~~~

YEH KAB KAHA THA K NAZAROON SEY KHOUF ATA HAI

MUJHEY TU CHAND SITAROON SEY KHOUF ATA HAI

MAIN DUSHMANOO K KISI WAR SEY NAHI DARTA

MUJHEY TU APNEY HI YAROON SEY KHOUF ATA HAI

KHIZA KA JABAR TU SENEY PE ROK LETEY HAI

HUMEY UDDASS BAHAROON SEY KHOUF ATA HAI

MILEY HAI DOST BESAKHION SEY DARD ITNEY

MERE BADAN KO SAHAROON SEY KHOUF ATA HAI .............

Share this post


Link to post
Share on other sites

hmm night wish and caratamity>>>>>>>going good :yes:

from me :rolleyes:

Azeem hai yeh qurbat ki doorian bhi

Saath reh kar bhi us ko na pana kaisa lagta hai

kismat main nahin phir bhi us ko chahtay hain

Phool samajh kar kantoon per chalna kaisa lagta hai

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ab to mehfil main bhi hamare liye tanhai hai

Gham chupa kar mehfil ko sajana kaisa lagta hai

Mehfil main dosron se hans kar miltay hain

Tanhai main gham k ansoo bahana kaisa lagta hai

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Samajhne per bhi samajhta nahin hai yeh Dil

Us ki yaad main ratoon ko jaagna kaisa lagta hai

Us ki berukhi ne itnay diye hain zakham kay

Zakham kha kar bhi muskurana kaisa lagta hai

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Jab woh hans hans kar baat karay dosroon se

Tab apnay ansoon ko chupana kaisa lagta hai

Usay kho kar to Meray pass raha kuch bhi nahin

Phir bhi khud ko ameer batana kaisa lagta hai

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Khud ko anmol samjhnE ka tha bara ghumand

Phir bhi baymool bik jana kaisa lagta hai

Khaey hain dhokay mouhabbat main itnay kay

Phir bhi is ko chahna kaisa lagta hai

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Maloom hai is deewane ki Manzil nahin hai koi

Phir bhi safar kartay rehna kaisa lagta hai

Woh to aa kar bhi kab kay ja chukay hain

Phir bhi is ka intazar kartay rehna kaisa lagta hai!!

Share this post


Link to post
Share on other sites

@ Night wish

gr8 sharing  :yes:

I take it as " Tarif Jawab-e-Tarif" :rolleyes:

I love "Aik Arzoo Aik Dua " Acha Zauq hai aap ka

@Syra Nice Post and Thanks for your appreciation

Uss kay Masiha Kay liya Aik Nazm

Ajnabi!

Kabhi zindagi main agar tu akela ho

Aur dard had say guzar jaey

Ankhain teri

Baat bay baat Ro Ro parain

Tab koi Ajnabi

Teri Tanhai kay chand ka naram Halah Banay

Teri Qamat ka Saya banay

Teray Zakhmon pay marham rakhay

Teri palkon say Shabnam chunnay

Teray Dukh ka masiha banay

--------------------------------------------------------

Lunatics, lovers, and poets are part of an imagination all combined

Edited by caratamity

Share this post


Link to post
Share on other sites
hmm night wish and caratamity>>>>>>>going good :yes:

from me :rolleyes:

Azeem hai yeh qurbat ki doorian bhi

Saath reh kar bhi us ko na pana kaisa lagta hai

kismat main nahin phir bhi us ko chahtay hain

Phool samajh kar kantoon per chalna kaisa lagta hai

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ab to mehfil main bhi hamare liye tanhai hai

Gham chupa kar mehfil ko sajana kaisa lagta hai

Mehfil main dosron se hans kar miltay hain

Tanhai main gham k ansoo bahana kaisa lagta hai

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Samajhne per bhi samajhta nahin hai yeh Dil

Us ki yaad main ratoon ko jaagna kaisa lagta hai

Us ki berukhi ne itnay diye hain zakham kay

Zakham kha kar bhi muskurana kaisa lagta hai

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Jab woh hans hans kar baat karay dosroon se

Tab apnay ansoon ko chupana kaisa lagta hai

Usay kho kar to Meray pass raha kuch bhi nahin

Phir bhi khud ko ameer batana kaisa lagta hai

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Khud ko anmol samjhnE ka tha bara ghumand

Phir bhi baymool bik jana kaisa lagta hai

Khaey hain dhokay mouhabbat main itnay kay

Phir bhi is ko chahna kaisa lagta hai

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Maloom hai is deewane ki Manzil nahin hai koi

Phir bhi safar kartay rehna kaisa lagta hai

Woh to aa kar bhi kab kay ja chukay hain

Phir bhi is ka intazar kartay rehna kaisa lagta hai!!

nice syra thanx for liking

bhai kiya kehny ap ka bhe lajawab hai :yes:

Share this post


Link to post
Share on other sites

caramity thanx ke ap ko mera zauz acha laga

humain bhe ap ka yeh topic acha laga :yes:

Share this post


Link to post
Share on other sites

""KASH MAIN TUMHARAY HASSEN ANKH KA KAJAL HOTA

TERE NAZROON KA MAIN SAHEL HOTA

TO SOTI TO TERE KHUABOON KO MAIN TAKTA

JAGTI ANKHOON K SAPNO MAIN MAEAL HOTA

CHORI CHORI JO KABHI TO DEKHTI KISSI KO

TERE NAZAR K US PAAL MAIN MAIN SHAMIL HOTA

DARD BARHNAY SAY CHHALAKTI JO TERI ANKHIN KABHI

TERE RUKHSAR KO BHI MAIN CHOON NAY K KABIL HOTA

TERI ANKH KO NA LAGTI KISSI KI BADKAR NAZAR

NAZRAY BAD SAY BACHNAY KA MAIN HAMIL HOTA

MAIN TERIANKH KI PUTLI KA MUTAELA KER TA

BADAL TAY TEAWAROON SAY MAIN KABHI GAPHIL NA HOTA

ACCHA HUWA JO MAIN KISSI KI ANKH KA KAJAL NA BANA

VERNA AAJ MAIN KISSI KA KATIL HOTA"

Share this post


Link to post
Share on other sites

Abh Kiya Lekhay Kagaz Per?

Abh Lekhnay Ko Kiya Baki Hai?

Aik Dil Tha So Abh Toat Giya

Lutnay Ko Abh Kiya Baki Hai

Aik Shakes Ko Hum Nay Caha Tha

Kuch Rate Per Naksh Banaiya Tha

En Rate Kay Razuoo Ko Hum

Nay Dil Mian Sajiya Tha

Woh Rate Tuo Kabh Ke Bekhar Ge

Woh Naksh Abh Kahan Baki Hain?

Abh Kiya Lekhay Hum Kagaz Per

Woh Jin Ko Hum Apni Nazmo

Ka Anwan Banaiya keartay thay

Woh Lafzo Ka Bana Kay Taj_Mahal

Kagaz Per Sajaiya kertay thay

Woh Hum Ko Akela Chor Giya

Saab Ristuoo Say Mooh Moor Giya

Abh Ristay Saray Sunay Hain

Woh payra Abh Kahan Baki Hai

Abh Kiya Lekhay Kagaz Per

Abh Lekhnay Ko Kiya Baki Hai..............

Share this post


Link to post
Share on other sites

Adat Nahi Rahi

"Sapno say dil laganay ki adat nahi rahi

Har waqt muskuranay ki adat nahi rahi

Ye soch ker k ab koi manaye ga nahi

Rooth janay hamain ki ab Adat nahi rahi "

Share this post


Link to post
Share on other sites

MOOJ MEIN SAMINDAR

"Mooj mein samindar hai saheloon per kashtiyan

Mein bhunwar main jane ka intizar kerta hoon.

Burf bare ho rahi hai aur dil sulagta hai

aashiyan ke jalne ka intizar kerta hoon.

Dostoon ki chahat ka aur saber kia dekhoon

khud hee tuto jane ka initzar kerta hoon.

Her jagh tujhe ko sada dekhne ki aarzoo

sath tere chalen ka initizar kerta hoon.

Phool main meri pasand rate ka gharoonda hai

Bus khoish ke milne ka initzar kerta hoon.

Mein aajuz hoon mager taarikhi mere sath

Ek deya jalen ka initizar kerta hoon..........

Share this post


Link to post
Share on other sites

RAKEEBON KAI KISSAY,RAKEEBON KI BATAIN

MERI JAN LAIN GI AZIZON KI BATAIN

KISI KA BICHARNA,KISI KA YOUN MILNA

YEH MANA KAI HAIN SAB NASEEBON KI BATAIN

WO AB AIK PAL KO MUYASAR NHI

JO KARTAY THAY HUM SAY MAHEENO KI BATAIN

MUHABBAT MAIN JEENA,MUHABBAT MAIN MARNA

BUHAT KAAM AIEN FAQEERON KI BATAIN

ADAD BHI SAMAJHNA,MRASAM BHI RAKHNA

NHI MANTAY HUM SAFEERON KI BATAIN

RIYAZAT IBADAT,IBADAT MUHABBAT

SAMAJH MAIN NA AIEN MUREEDON KI BATAIN

TUMHAIN YAAS LIKHNA PARAY GA YAQEEN

ARAY BHOOL JAO ADEEBON KI BATAIN

Share this post


Link to post
Share on other sites

Wahima

Tu Har Ek Baat Peh Hans Deti hai

Aur main Soch main Parh Jata hun

Yeh teri Sada-o-masoom Hansi

Aankh Ki Bhool, Smaat Ka Fasoon

Teri Aadat Tera Andaaz Na ho

Bay takalluf teray honton Ki Chatak

Meri Kush Fahmi Ka Ehjaaz na ho

Main Sraabon ko bhi Darya Samjhon

Tu Faqat Shaoq Ki parwaaz na Ho

Tu har Ek Baat pe hans Deti Hai

Aur main Soch main Parh jata hun

Yeh teri Saada-o-Baybaaq hansi

Main Jisay Khawab say Tabir karon

Wo haqiqat main Koi Raaz na ho

Teray bay sakhta hansanay ki Ada

Teri Tanhai ki awaaz Na ho

Main Jisay Husn-e-Tabiat Janoon

Teray jazbaat Ki Gammaz na ho

Tu har baat pey Hans deti hai

Aur main Soch main parh jaata hun

Yeh teri Sada-o-Purkar hansi

Meri Dunya meri hasti ka Sakoon

Kisi Tufaan Ka Aagaz na ho

Main Muhabbat ki talab ka Mara

Tu Faqat Husn-e-Nazar baaz na ho

Yeh na ho main to Swimber Jeeton

Aur teray qasar ka Dar Baaz na ho

---------------------------------------------------

A dream is a writing, and many writings are just dreams

Share this post


Link to post
Share on other sites

Yeh ganimat hai keh unn aankhon nay pehchana hamain

Koi to samjha dyar-e-gair main apna hamain

Wo keh jinn kay haath main taqdir-e-Fasl-e-Gul rahi

Day gaey sookhay huay patton ka nazrana hmain

Wasl main teray khraabay bhi lagain ghar ki trah

Aur teray hijr main basti bhi weerana hmain

Such tumharay saray karway thay, magar achay lagay

Phans ban kar reh gia bas aik afsaana hmain

Ajnabi logon main ho tum aur itni door ho

Aik uljhan si raha karti hai rozana hmain

-

Suntay hain qeemat tumhari lag rahi hai aaj kal

Sab say achay daam kiss kay hain, yeh batlaana hmain

Takeh uss kush bakht taajir ko mubarakbaad dain

(aur uss kay baad dil ko bhi hai samjhana hmain)

----------------------------------------------------------------

Mehboob woh hota hai jis ka 'Na Theek' bhi 'Theek' Lagay.

Share this post


Link to post
Share on other sites

Khuwab Ki TArah Bikhar JAnay ko Jee Chahta Hai

"Khuwab ki tarha bikhar jaaney ko jee chahta hai

aisi tanhai k mar jaane ko jee chahta hai

doob jaon to koi nishan tak na batae

aisi nadiya mai uter jaane ko jee chahta hai

ghar ki wehshat se larazti hon magar jaane q?

shaam hoti hai to ghar jaane ko jee chahta hai

Khuwab ki tarha bikhar jaaney ko jee chahta hai

aisi tanhai k mar jaane ko jee chahta hai

Share this post


Link to post
Share on other sites

"Rait par likh ke mera naam mitaya na karo

aankhen sach bolti hain, pyaar chupaya na karo

log har baat ka afsana bana lete hain

sab ko haalaat ki rudaad sunaya na karo

ye zaroori nahin har shakhs masiha hi ho

pyaar ke zakhm amaanat hain dikhaya na karo

shahar-e-ehsaas mein pattharaav bahut hain "sherry"

dil ko shiishe ke jharonkhon mein sajaaya na karo ........

"

Share this post


Link to post
Share on other sites

DARD

"aya tha ek shaqs mere dard bantne

Rukhsat howa to apne bhi gham de gaya

mujhe .

Share this post


Link to post
Share on other sites

Create an account or sign in to comment

You need to be a member in order to leave a comment

Create an account

Sign up for a new account in our community. It's easy!

Register a new account

Sign in

Already have an account? Sign in here.

Sign In Now
Sign in to follow this  

×

Important Information

We have placed cookies on your device to help make this website better. You can adjust your cookie settings, otherwise we'll assume you're okay to continue.