Jump to content
CooLYar Forums - A Friendly Community by CooLYar
sonoo0

Kabhi Apna Kabhi Ajnabi Hai Jo

Recommended Posts

kabhi apna kabhi ajnabi

kabhi apna kabhi ajnabi hai jo

hameen buhat hi aziz hai woh

karta hai nat naiye andaz se tang

bharta hai zindagi main kaie raang

gum rakhta hai mujhe har waqt jo

lagta hai koi kuhaib hai woh

sab achy lagty hain uskay dhaang

ji chaieehy guzaroon zindagi uskay sang

kabhi apna kabhi ajnabi hai jo

hameen buhat hi aziz hai woh

Share this post


Link to post
Share on other sites

hum ne ilage zakhme dil doond liye phir bhi

gehre zakhmon ko buhrne main waqt lagta he

aub koi khushi na koi ghum ro lene wala

hum ne apna liye hain her ghum zamane wale

Share this post


Link to post
Share on other sites

nice sono:)

main hoon na > good one

lgoon kay badltay andaz itnay sakht thay

rooh tuk pohnach gaye hain jisam kay ghaao

Share this post


Link to post
Share on other sites

ZINDAGI MAIN KOI KABHI AEYNA RABBA

AAYE JO KOI TO PHIR JAYE NA RABBA.

DEYNEY HO AGER MUJHAY BAAD MAIN ANSOO

TU PHELAY KOI HANSAYE NA RABBA,

DIL K JO ARMAN TEY WO DIL MAY HI RAHE GAYE

ASHQI JI KI HUM ASHQOO MAY BHAYE GAYE

GHUM KA FASANA HAI DARD YA PURANA HAI

ITNA NA BHI KOI YAAD AYE NA RABBA,

ZINDAGI MAIN KOI KABHI AEYNA RABBA

AAYE JO KOI TO PHIR JAYE NA RABBA.

DEYNEY HO AGER MUJHAY BAAD MAIN ANSOO

TU PHELAY KOI HANSAYE NA RABBA,

YAHI SOUCH TA HON KESAY US KO BHOOLAO GA

NA WO KABHI AYE GI NA USAY BHOOL PAOO GA,

JENEY KA THIKANA HAI NA MARNAY KA BAHANA HAI

ITNA BHI KOI SAATAYE NA RABBA

ZINDAGI MAIN KOI KABHI AEYNA RABBA

AAYE JO KOI TO PHIR JAYE NA RABBA.

DEYNEY HO AGER MUJHAY BAAD MAIN ANSOO

TU PHELAY KOI HANSAYE NA RABBA,

Share this post


Link to post
Share on other sites

" Badal Gaya "

Aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya,

Woh shakhs aik shaam main kitna badal gaya,

Kuch din to mera aks raha aaine pe naqsh,

Phir youn huwa ke khud mera chehra badal gaya..

Jab apnay apnay haal pay hum tum na reh sakay,

To kiya huwa jo hum say zamana badal gaya,

Qadmon talay jo rait bichhi thi woh chal pari,

Us nay chhuraya haath to sehra badal gaya..

Koi bhi cheez apni jageh par nahin rahi,

Jaatay hi aik shakhs kay, kiya kiya badal gaya,

Ek sarkhushi ki moj nay kaisa kiya kamal,

Wo bay-niaaz saara ka saara badal gaya..

Uth kar chala gaya koi waqfay kay darmiaan,

Parda utha to saara tamasha badal gaya,

Hairat say saaray lafz usay dekhtay rahay,

Baaton main apni baat ko kaisay badal gaya..

Kehne ko ik sehan main deewar hi bani,

Ghar ki fiza makaan ka naqsha badal gaya,

Shayad wafa kay khel se uktaa gaya tha woh,

Manzil kay paas aake jo rusta badal gaya..

Qayem kisi bhi haal pay dunya nahin rahi,

Taabeer kho gayee kabhi sapna badal gaya,

Manzar ka rang asal main saaya tha rang ka,

Jis nay usay jidhar say bhi dekha badal gaya..

Andar kay mosamon ki khabar us ko ho gayee,

Us no-bahaar-e-naaz ka chehra badal gaya,

Aankhon mein jitna ashk thay jugnoo say ban gaye,

Woh muskuraya or meri dunya badal gaya..

Apni gali main apna hi ghar dhoondhtay hain log,

Muneeb~ ye kon se sheher ka naqsha badal gaya..

Share this post


Link to post
Share on other sites

Kisi kumzoor lamhe me :huh:

Agar me tum se ye keh doon

Mujhe tum se muhabbat hai :D

Tum ye mat samajh lena

Mein ne sach kaha ho ga

Aisi dilnasheen baatoon ko

Aise dilbar peraye me kehna

Mujhe buchpan se aata hai

Meri aankhein mera chehra

Mera ye besakhta lehja

Ye sab kuch jhoot kehta hai mager

Is jhoot me aik sach bhi hai ke

Mujhe tum se MUHABBAT hai :banghead:

Share this post


Link to post
Share on other sites

"Woh kehti hai k kia ab bhi kisi k liye laal hari chooriyan khareedtay ho?

main kehta hon ab kisi ki kalai pe yeh rang acha nahi lagta.

Woh kehti hai k kia ab bhi kisi k anchal ko aakash likhtay ho?

main kehta hon ab kisi kay aanchal main itni wosaat kahan hai..

Woh kehti hai k kia mere baad kisi larki se muhabbat howi hai tumhai?

main kehta hon, muhabbat sirf larki per mushtamil nahi hoti.

Woh kehti hai k janan! lehjay main bohat udaasiyat si hai?

main kehta hon k titliyon ne bhi mairay dukh ko mehsoos kiya hai.

Woh kehti hai k kia ab bhi mujhay bewafa k naam say yaad kartay ho?

main kehta hon k mairay nisaab main yeh lafz shamil hi nahi.

Woh kehti hai k kabhi mairay zikar per ro bhi laitay ho gay?

main kehta hon k mairi ankhon ko har waqt ki phoowar achi lagti hai.

Woh kehti hai k tumhari baaton main itni gehrai q hai?

main kehta hon k teri judai k baad mujh ko yeh aizaaz mila ha

Share this post


Link to post
Share on other sites

Kabhi kabhi is dil kay kisi konay main ,,

Tujh say bicharnay ki tarap main

Teray na milnay ki saachaye main

Mujh say duur chalay janay ki haqeeqat main

Eik ghum ki lahar uth ti hay jo mujh say

Meray wajod say meri anna say meri rooh say

Eik hi sawal poochti hay kay

Bhala us ko chana bhi gunah hay

Us ko pyar karna bhi mana hay

Who jo meray dil main rehti hai

Who jo meray khuwaboon main basti hay

Who jo meray wajod ka hisa hay

Meri zindagi jis kay liyay mazi ka hisa hay

Who jis kay bina main adhorra hoon

Jis ki nazroon main main buhatbura hoon

Jis kay bina tanha hoon

Jis kay bina na ghum main hon na khush hoon

Jis kay bina jiya nahi jata

Jis kay bina mara bhi nahi jata

Who jo mera sab kuch thi

Who jo meray liyay ghair kab thi

Who jo khushbo ki tarah mehakti thi

Who jo hawaon say batein karti thi

Jis ki awaz main jado tha

Jis ki waja say main bay qabo tha

Jis ki haya say phool shar majatay

Js ki wafa say leela majnon rash khatay

Who jo doodh ki si chadar main lipti

Who jo rang roop say huur lagti

Mujhe nahi mil saki who

Jo shaid mera sab kuch thi

Ab tu zinda hoon jesay

Koi apni aakhri sansein gin raha ho

Lekin main janta hoon kay

Yah muut bhi us ki tarah

Wafa ka barham rakhay gi

Buhat jald hi duniya kay qabarsatan

Main meri mayat rakhay gi

Marnay ka ghum tu mujhe nahi

Ghum eik tu hu kuch bhi nahi hay

Meri dastaan buhat lambi hay

Eik dosray kay liyyay ab ajnabi hain

Us ka ishq main tarapta hay ab

Yeah dil janay kahan kahan bhatakta hay ab

Koi sawan ka mausum bhi meri

Is piyas ko nahi bhujata sakta

Koi 7 asman bhi meray liyay

Saibann nahi ban sakta

Ab tu bus eik aakhri duwa

Apnay rab say hay

Kay jahan rahay who

Hameesha khush rahay

Bus jab meri aakhri saans

Meray jism say niklay

Jab eik farishta meri rooh

Ko lay janay aaa phunchay

Tu bus eik jhalak apni dekha day na

Kay jeenay main tu sukon nahi mila

Sukon tu kiya tu hi na mila

Tu tujhe dekh kar martay howay

Kalma parhna bhi bhool jaon

Bus aurkuch khuwaish nahi meri

Kay tu marta dekh kay hi mujh say

Eik dafa keh day kay :down:

Haan main nay bhi kabhi tum say pyar kiya tha :(

Haan kabhi………….. :wacko:

Kabhi kabhi meray bhi dil kay kisi konay main

Tumharay liyay muhababt jagti thi

Lekin ab tum sirf eik yad ho

Tu shaid ab kabhi meray is dil kay konay main

Tum koi jaga na pasako :banghead:

Share this post


Link to post
Share on other sites

Yaad Rakhna ...

Aik umeed aik khawaab dil mein liye phirna

Muskil tu hai yeh umeed-e wafa ab us sey rakhna,

Mumkin ho tu muj ko yaad kerna ,

Jo na hosakey tu bhool jana na kabhi iqraar kerna

Wo hadsa bhula chukee hoon mein ,lakin

Kabhi jo tum ko aye yaad tu na faryaad kerna

Jo ker chukey thay keid tu kiya

Ab is per katey panchee ko azaad kerna

Khata kissi kee ho saza koi paye

Ah! assey mein kiya us zalim sey ah-o baqa kerna

Ab pata cha na anjaam-e-wafa,azmat

Ab na bhoolna yeh baat her dam yaad rakhna

Share this post


Link to post
Share on other sites

Teri palko pe khwab rakh gaya koi,

Tere saso pe naam likh gaya koi,

Chalo vaada raha tumse,

Bhool jana hame,

agar hum se acha tumhe mil gaya koi

Share this post


Link to post
Share on other sites

Mujhay roshni k jazeeron say ...

>

>Is tarhaan mili ho tum ...

>

>Jaisay taareek rahoon main ... :(

>

>Koi diya ho mad’dham sa ...

>

>Jis ki roshni main khud ko daikh to sakta hoon magar ...

>

>Yeh roshni ka safar shayad mera hamsafar na ho ...

>

>Shayad k tera milna kabhi bhi meri zindagi ka muqaddar na ho ...

>

>So aaj inhi lamhoon main ...

>

>Lota dain jitni chahatain hain ...

>

>Mere dil k nehaan khanoon main ...

>

>Jitni un kahi batain hain ...

>

>Phir kal fursat milay na milay ...

>

>Jis tarhaan saji hai aaj apni mehfil ...

>

>Phir yeh bazam sajay na sajay ...

>

>Kyon k main janta hoon ...

>

>Kay meri natamaam khuahishoon main ab ...

>

>Tumhain bhi shamil hona hai ...

>

>Aaj paya hai tumhain muqaddar say ...

>

>Kal isi tarhaan ...

>

>Tumhain bhi khona hai ... :down:

>

Share this post


Link to post
Share on other sites

u guys r superbbbbbbbbbbbbbbbbbb :yes:

Ab such kahein tou yaaro, Hum ko khaber naheen thi

Bun jaaey ga qayamat, Aik waaqaya zara saa

Tewer thay berukhi key, andaaz dosti key

Woh ajnabi tha laikin, lagta tha Aashna saa

Share this post


Link to post
Share on other sites

wah wah.. nice poetry

Share this post


Link to post
Share on other sites

Create an account or sign in to comment

You need to be a member in order to leave a comment

Create an account

Sign up for a new account in our community. It's easy!

Register a new account

Sign in

Already have an account? Sign in here.

Sign In Now

×

Important Information

We have placed cookies on your device to help make this website better. You can adjust your cookie settings, otherwise we'll assume you're okay to continue.