Jump to content
CooLYar Forums - A Friendly Community by CooLYar

Blogs

 

Faraz Last Ghazal

Gham e Hayat ka jhagra mita raha koi Chale aayo duniya se ja raha hai koi Azal se kehdo ke ruk jaye do ghari Suna hai aane ka waada nibharaha hai koi Woh is naaz se baithe hai lash ke paas Jaise ruthe huwe ko maana raha hai koi Palat kar na aajaye phir sans nabzon mein Itne haseen haathon se miyat saja raha hai koi

Emaad

Emaad

 

تجھے شاید خبر ھوگی

حقیقت آشنا میرے تجھے شاید خبر ھوگی مجھے تیری محبت نے بہت بزدل بنا ڈالا میں ہر اس شے سے ڈرتا ھوں تجھے جو چھین سکتی ھے میں ان لمحوں سے ڈرتا ھوں جدائی جن میں رہتی ھے میں ان اشکوں سے ڈرتا ھوں جو بنکر یاد بہتے ہیں میں ان لفظوں سے ڈرتا ھوں جو خاموشی میں رہتے ہیں بچھڑنے کی میرے ہم دم میں ہر صورت سے ڈرتا ھوں تجھے شاید خبر ھوگی مجھے تیری محبت نے بہت بزدل بنا ڈالا

Emaad

Emaad

 

Way Of Promotion

People who do lots of work... Make lots of mistakes People who do less work... Make less mistakes People who do no work... Make no mistakes People who make no mistakes.... Gets promoted That's why I spend most of my time Sending e-mails & playing games at work , I need a promotion...

Emaad

Emaad

 

Anohther Day Has Gone But I M Still Alnoe......

Tumhari yaad aati hai Andheri raat ko jub aasman par Tajj’alian harf-e-mohabbat naqsh karti hain Kisi nakam sa’at jub Hamara dil shikasta hoslay ka noha gata hai Naee hijrat hamari zindagi ki taza majboori ke angan main Siyah khaima lagati hai Tumhari yaad aati hai Tumhari yaad aati hai Kabhi be abaad sarkon k kinaron par Kabhi maqtool jazbon ke mazaron par Kabhi banjar zameenon par Kinare shab zamen main dafan hote hue Raishmi suraj ki halat k ishare par Judai k kinare par Kahin mausam badal jaye Kabhi jo saaz mil jaye Kabhi jo geet ban jaye Kabhi sangeet chin jaye Mohabbat saaz lamhon main Bohat naraz lamhon main Zamanay k sawalon main Hifazat k khyaloN main Tumhari yaad aati hai Jub adhay rastay par ja k manzil bhool jati hai Tumhari yaad aati hai.........!!!

Zaini

Zaini

 

Lakin Teray Baghair

Tum yaad Ho To Naqsh Ho Merey Hawaas par Tum Ashk Ho To Merey Dukhon Ka ILaaj Ho Tum Khuwab Ho To Meri Aankhon Main Ho kahin Tum Wehem Ho To Mujh Ko Haqeeqat Say Ki Gharaz Tum Baiss-e-Safar Ho, Huner Ki Uraan Ho Tum Neend Ho To So K Guzarein Gay yeh Hayaat Tum Husn Ho To Merey Takhayyul Ki Jaan Ho Tum Raat Ho To Mujh Ko Nahin Subah Ki Talab Tum Noor Bun k DiL Main Samaey Ho Aaj kal Tum Khaak Ho To Kaak Nasheenon Ki Ho Talash Tum Dard Ho To Rooh Pay Chaey Ho Aaj Kal Tum Dasht Ho To Main Bhi Musafir Hoon Dasht ka Tum Chaand Ho To Talkh Andheron Ki Fiker Kiya Tum Bay Neyaz Ho To Zamanay Say Ho Alag Tum Rung Ho To Phir yeh Baharon ka Zikr Kiya Tum Bay Samar Ruton Main, Baharon Ki Ho Umeed Tum Rah Guzar-e-Shauq Main Jazba Junoon Ka Ho Tum Arzoo Ho, Ehl -e- Tamanna Ki Ho Khalish Tum Rut-Jagon Ki Bheer Main Lamha Sakoon Ka Ho Tum Bewafa Ruton Main Hawala Ho IshQ Ka Tum Baybasi Ho Phir Bhi Muheet-e-Hawaas Ho Tum Ik Kiran Ho Noor-e-Azal Main Dhali Hui Tum Taazgi Ho, Shabnami Phoolon Ki Aass Ho Tum Gehrey Paniyon Main Chupay Motiyon ka Lams Tum Maut K Safar Main Nishan -e- Hayat Ho Tum Meri Chashm-e-Num K Sitaron Ki Keh'kishaan Tum Husn-e-Bay'Missal, Meri Kayenaat Ho Tum Jab Say Ho Gaey Ho Meri Dastras Say Dour Main Jee rahi Hoon Kyun K Zaroori Hai Zindagi Saanson K Bojh Ko Bhi uhhaya hai Rooh Nay Lakin Terey Baghair...... Adhoori Hai Zindagi .........!!

Zaini

Zaini

 

Iqtibaas

Zindagi tanhai k samundar maiin ik jazeery ki se haisiiat rakhti hai.....Iss jazeery ki chataanain umeedon ka roop dhaar laiti hain.Is k darakht khwaab ban jatAy hain.Is k phool aman-o-sakoon ka namuuna hain.Is ki nadiyan sarap-e-tishnigi hain.................Zindagi ik aisa jazeera hai jo doosray jazeeroan se alag ho gaya haii..............Hamari zindgi ik alag thalag ghar ki maanind haii jo doposray logoan k gharoan se bilkul alaihda hai........Yeh woh ghar hai jahan koi hamsaya andar jhank k nahi daikh sakta agar yeh ghar tareeqioun main ghir gaya ho tou tumhary hamsiay ka chiraagh is main roshni nahi phaila sakta............Agar iss ghar main khany peeny ka saman khatm ho jaye tou tumhara hamsaaya tumhay kuch nahi day sakta......Agar yeh ghar shehra main waqya hai tou tum is ko dousrey logon k baag main nahi lay k jaa saktey......Agar yeh ghar kisi pahar ki chooti pay abad hai tou tum isay is wadi main abaad nahi kar saktay jahan aur log bhi abaad hain..............!!

Zaini

Zaini

 

Alvida

Kisi ko alwida kehna Bohat takleef daita ha Umeedain toot jati hain Yakeen pay bay yakeeni ka kehar kuch aisa charta ha Deakhiea kuch nahi daita,subhaiee kuch nahi daita DUA k lafz hontoon pay musalsal kapkapatay hain Kisi khawish k andashay Zehan main door jatay hain Gumaan kuch aisa hota ha K jaisay mil na pian gain Ya gehray zakham furkat k kisi say sil na pian gain Kabhi aisa bhi ho YARAB Duaian maan laita ha Tu koi mojza kar day tu aisa kar bhi sakta ha Meray haathoon ki janib deakh tu unko bhar bhi sakta ha Judai ki ya teekhi dhaar diloon ko khoon karti ha Judai ki aaziyat say Mera dil ab bhi darta ha Judai do ghari ki ho tu koi dil ko behliea Judai char pal ki ho tu koi dil ko behliea Judai umar bhar ki ho Tu koi chara karay koi K ab milnay ki hasrat main bhala kub tak jiea koi Meray mola karam kar day tu aisa kar bhi sakta ha Meray haathoon ki janib deakh tu unko bhar bhi sakta ha ....!!!

Zaini

Zaini

 

Bicharnay Waalay

Bicharnay walay Chalay jo ho tou bata k jao K kitni shaamain udaas aankhon main kaat-ni hain K kitni subhain akelay pann main guzaarni hain Bata k jao k kitne sooraj..azaab rastoon ko dekhna hai K kitnay mehtaab.............Sard raatoon ki wus-at-ton se nikaalne hain Bata k jao k chaand raatoon main waqt kaise guzaarna hai Khamosh lamhoon main tujh ko kitna pukaarna hai Bata k jao k kitnay lamhay shumaar karnay hain hijj ratoon k K kitnay mousam aik aik kar k judaiyoon mein guzaarne hain Bata k jao k panchiyoon nay akele pann ka sabbab jo poocha Tou kya kahoon ga? Bata k jao......Main kis se tera gilla karoon ga Bicharr k tujh se habbib kis se mila karoon ga Bata k jao k aankh barsi tou kon moutii chuna karay ga Udaas lamhoon main dil ki dharkan suna karay ga Bata k jao k mousamoon ko payaam dainay hain ya nahi hain Fallk ko,taroon ko,jugnooon ko salaam dainy hain ya nahi hain Bata k jao k kis pe hai aitebaar karna To kis ki baatoon pe be-niyazi k silsalay ikhtiyaar karna Bata k jao k abb ravviyoon ki chaal kiya ho Jawaab kiya ho,sawaal kiya ho Arooj kiya ho,zawaal kiya ho Nighah,rukhsaar,zulff,chehra, Nidhaal kiya ho Bata k jao k meri haalatt pe chaandani khikhila pari tou main kiya karoon ga Bata k jao k meri soorat pe tairgi muskara parri tou Main kiya karoon ga Bata k jao k tum ko kitna pukaarna hai Bicharr k tujh se ye waqt kaise guzaarna hai Ujaarna hai? nikhaarna hai? Chalay jo ho tou bata k jao K loutna bhi hai ya................????????

Zaini

Zaini

 

Maata-e-sham-safar

Maata-e-sham safar bastioon main choor aaye Bujhay chiraga hum apnay gharoon main choor aaye Bichar k tujh say chalay hum tou ab k youn bhi hua K teri yaad kahi rastoon main choor aaye Hum apni darbadri k mushahiday aksar Naseehatoon ki tarhan kam sanaoon main choor aye Khiraaj-e-sail bala is say berh k kia hai k loog Khulay makan bhari barishoon main choor aye Ghiray hain lashkar-e-aada main aur sochtay hain Hum apnay teer tou apni safoon main choor aye Hawa he din main parinday urati phirti hia Hawa he phir say unhain ghonslaoon main choor aye Kisi khabar hia k zakhmi ghaza'al kis k liya Nishaan lahoo k ghnaay jungaloon main choor aye Humaray baad bhi ronaq rahay ge maqtal main Hum ehl-e-dil ko baray hoslon main choor aye Urain gain kia woh parinday jo apnay rizq samait Safar ka shoq bhi tootay paroon main choor aye Sada sukhi rahain chehray woh hum jinhain Mohsin Bujhay gharoon ki khuli khirkioon main choor aye.......!!

Zaini

Zaini

 

Schoool Life

AAta hay YaAd wo School ka zAmAnA Wo teacher ki dant phr head master k pas Jana wO ek Dosry ko bachana, Koi ek pareshaani ho tou sub ka mil k smjhana wo saath beth kar hasna, Muskurana, shararat kr k chup jana wo urdu aur pakistan studies k period may sojana .. Teacher k jane k bad pakau ka naara lagana na bhulain gay wo din or na wo batain agr kuch hay tou bus yadain he yadain

Ramz

Ramz

 

*bachpan!

Bachpan Jab yaad aata hai to yaad aate hain, woh pyare se din, woh suhaani shaamein, Jab saahilon par PAPA ka haath thaame, Ghanton ghooma karte the.... Wo MAA ki godh, Jisme apna sabkuch bhoolkar Bekhabar, ghanton soya kartay thay DADA DADI ki woh kahaniyan, Jiske rajkumar aur pariyon mein, Khud ko dhoondha karte thay Woh AAM ka DARAKHT, JIski chhanv tale, doston ke saath milkar, khub shararat karte thay waqt beet gaya aur kho gaya kahin... Woh SAAHIL... Jo aaj bhi mujhe aawaz deta hai, Woh MAA ki goud... Jo mujhe dhoondh rahi hai, Magar jisme sone ki ab mujhe fursat nahi hai, DADA DADI ki woh kahaniyan... Jo ab khamosh ho gayi hain, Kabhi kabhi khwabon mein dhundhli lakeer ki manind Dastak de jaati hain... Woh saare DOST jaane kahan chalay gaye... Mutthhi mein band ret ki tarah phisal gaye, Kho gaye jaane kahan... Woh masti bhare din, woh bekhauf raatein; Woh aasmaan choone ki tamanna, woh be-takallufi ki baatein, Jab har sapna haseen tha, har lamha rangeen tha; Aaj kyon har manzar surkh-syah-safed-sa dikhta hai Kya duniya badal gayi hai ya main badal gaya hoon Ab ehsaas hota hai KE SHAYAD MAIN BADA HO GAYA HOON... KE SHAYAD MAIN BADA HO GAYA HOON...

Ramz

Ramz

 

Love U

You mean the world to me You are everything to me Just to hold you close To feel your loving embrace Makes me smile and feel loved inside You have my heart and shall keep it forever You have the password to my soul You are the missing piece of the puzzle that shall make me whole I love you with all my heart Words cannot describe how i feel To be apart from you for just a short time Tears away at me inside But as soon as i see your beautiful face And just have one bittersweet kiss The pain inside me vanishes and is no more I feel you are my one true love My reason to live on Without you I would break Just shatter into pieces And float away in the wind You are the reason that i wake each day So I hope and pray that you will stay..

Ramz

Ramz

 

Koi To Hota….

KOI TO HOTA…. mai jis k dil ki kitaab benta mai jis ki chahet ka khawab benta mai hijr k mosem ki lembi raaton mein yaad ben ker azaab benta KOI TO HOTA….. jo meri khawahish mein uthh ker raaton ko khoob rota dukhon ki chader lapeit ker hajoom_e_dunya se door hota mai rooth jata manata mujh ko k chahe mera kasoor hota KOI TO HOTA…. mai jis k itna kareeb hota na paas koi rakeeb hota mai itna uus ka habeeb hota ye silsila bhi ajeeb hota KOI TO HOTA……..

Ramz

Ramz

 

Ek Din

Ek Din is DuniA se chAla JaOGa wAQt BA wAqT Tmko RulAougA Jb yAaD aAy meri To Dua KRNa bAkshisH k Lye WaAdA hY tmsY Mera......... RoOooOZ kHUwAb MAi mlnY aAogA inshAllah . Rameez

Ramz

Ramz

 

Kaise Mjhy

Kaise Mujhe Tum Mil Gayi Kismat Pe Aaye Naa Yakeen Utar Aayi Jeet Mein Jaise Chaand Utar Ta Hai Kabhi Haule Haule Dheere Se Gun Guni Dhoop Ki Tarah Se Tarango Mein Tum Chhoo Ke Mujhe Guzari Ho Yuh Dekhu Tumhe Ya Main Sunoo Tum Ho Sukoon Tum Ho Junoon.. Kyun Pehre Raat Aayi Tum Kaise Mujhe Tum Mil Gayi Kismat Pe Aaye Naa Yakeen Main To Yeh Sochta Tha Ke Aaj Kal Kuch Bataane Ko Fursat Nahi Phir Bhi Tumhe Banaake Woh Meri Nazar Main Chadh Gaya Ruit Pe Duaa..Aur Ban Gaya Badle Raaste Jharne Aur Nadi Badli Deep Ki Tin Tin Chhede Zindagi Dhun Koi Nahi Badli Barkhaa Ki Rimjhim Badlengi Rituein Ada.. Par Main Rahoongi Sada.. Usi Tarah Teri Baahon Mein Baahein Daal Ke Har Lamha Har Pal Zindagi Sitaar Hogayi Rimjhim Malhaa Hogayi Mujhe Aata Nahi Kismat Pe Apni Yakeen Kaise Mili Mujhko Tu

Ramz

Ramz

 

Memories

v mAke so many frendx sum bcum dearest, sum bcum speciAl ,felt in Luv wth sum 1 Sum go abroad , sum change their cities , sum Left Us we Lft Sum,Sum r in ContAcT Sum r nOt in ContAct,sUM DonT cOntAct Cux Of EgO we Dont contact sum cuz of Our eGo wht evr Thy Were,, How evr Thy r WE Still Remember Luv,Missed Cared thm b cuz of the part thy plAyed To mAdE Memories

Ramz

Ramz

 

Maa (mother)

Seeny sy laga kar kaha krti thi maa Mjh Ko Tu Lal Hy mere naa sata MjhKo , PachTy ga Ek Din Jb mai chali jaoge Na chahty Huy B akeela choor jaoge Zamana Dikhaaye ga garmi ki shiddat TjhKo Yad Kr K roo ga u phr Mjh Ko Mudaton se meri Maa Ne seeny sy Nhi lagaya Ab sOoO GaE kHAAK ME JaB Khny Ka WaqT Aya :sad:

Ramz

Ramz

 

Mere Aansoo

rotay rotay so gaye mere aansoo bahtay bahtay thak gaye hai mere aansoo sonay do unko na jagao dard ki aahat se phir na satao roye hai bhut ye phir na rolao gham se dar k chup gaye hai mere aansoo milke mhefil se bhi roye chup k thnayi se bhi roye kyon dard hai kuch kahay na mere aansoo khawab se bhi dar k ye rotay hain aur haqiqat ki bebasi pe bhi ye rotay hain dard ki zanjiron se lipte thay ahsaas mere apni qismat pe ye rotay thay ye saath mere paa k jo kho diya us pe phir roye mere aansoo kitna gham ka tofaan tha aansouo se bana mera sailaab tha gham ki es kashti main rota dil preshaan tha apni hasrat ki babasi pe phiir nikal aaye mere aansoo thay hassaas bhut dard se betaab bhut gham mila tha enhain jahan se behisaab bhut siskiyan letay sinay main aag lag jati her kami pe enki ankh phir bhar aati sabke sataye hoye hain gham se ghbraye mere aanso dekhte bebasi se apne aarzo ko zindaghi se kahte k mila de mujhe se meri khoshi ko thak gaye hain bhut rotay rotay mere aanso raton ke andheron ne rolaya hai bebasi ki sobha ne aaker satya hai kal ke suraj ne bhi mayos ayina dikhya hai waqt se halaat se lad rahe hai mere aansoo dherkane bhi siskiyan leke ankh ka pani sokha k sogayi aaj roye ye kis baat pe ham ke ankh aansoun se sooj k so gaye etna roye k rotay rotay sokh gaye mere aansoo rotay rotay so gaye mere aansoo bahtay bahtay thak gaye hain mere aansoo

Ramz

Ramz

 

Yeh Zindagi Kya Hai,

Yeh zindagi kya hai, Kya iski haqeeqat hai, Kya yeh doulat hai, Doulat hai to kya iski keemat hai, Kya yeh Mohabbat hai, Mohabbat hai to kya iski izzat hai, Kya yeh baghawat hai, Baghawat hai to kya iski shohrat hai, Kya yeh Nafrat hai, Nafrat hai to kya iski zaroorat hai, Kya yeh soughaat hai, Soughaat hai to kya iski lizzat hai, Kya yeh sharafat hai, Sharafat hai to kya iski banawat hai, Kya yeh chahat hai, Chahat hai to kya iski Shiddat hai, Kya yeh mehnat hai, Mehnat hai to kya iski sahoolat hai, Kya yeh Dosti hai, Dosti hai to kya iski milawat hai, Kya yeh mehfil hai, Mehfil hai to kya iski barkat hai, Kya yeh rasta hai, Rasta hai to kya iski manzil hai, Kya zindagi dard hai, Dard hai to kya guzarna mushkil hai, Kya yeh khushi hai, Khushi hai to kyon palkon pe chilmil hai, Kya zindagi HUM hain, HUM hain to kya humari ibtida hai, Kya matti humari ibtida hai, Matti humari ibtida-o-inteha hai to.... to.... to... kya.... Kya humein yeh yaad hai.. Jo humein yeh yaad nahin, To kya hum abaad hoke bhi shaad hain.. Kya yeh ehsaas hai, Ehsaas hai to kya yeh khaas hai, Main bataon ZinDagi kya hai, Zindagi kuch nahin bas Ek sans hai.

Ramz

Ramz

 

Reality Of Lyf

ChOoTi SI BaAT WAQT SY pHlY oR NaSeeB Se ZayadAh Kisi Ko kuch Nhi MilTa................ zinDagi Wo Nhi Jo Hm Sochty Hey, ZindaGi Wo Hy Jo Hum Jeety hey :-)

Ramz

Ramz

 

Yh Pal Hamy Yad Aay Gay

YH PAL hamay yad aay gay wo kal yad aay gay YH PAL hamay yad aay gay wo kal yad aay gay Hm ny kia yaha Jo b Kia roo k kabhi hass k jia , khushiyah kabhi ghum b lia roo k kabhi hass k jia yh pal......... Barsoo jo khuwab buny sach wo aaj huy, barsoo jo khuwab buny sach wo aaj huy, Mill he gya manxil ka nishan, apne sapno ka jahan.. Chooty na yh karwaa apny sapno ka jahan Yh pal.......... Shukriya yaroo shkriyah , pyaar jo itna dia Shukriya yaroo shkriyah , pyaar jo itna dia Aao mill k jhoomy gain, chahryy sargam Kooo, naghmy barsaay mill k jhoomy gain... Hmne kia yahan Jo b kia roo k kabhi hass k jia.. Khushiyah kabhi ghum b Lia ,roo k kabhi hass k jia... Mil he gya manxil ka nishan, apne sapno ka jahan, chooty naa yh karwaaah Apnyyy sapnoo ka jahan..... Yeh Pal..... Yh pal hamay yad aay gay wo kal yaad aay gay............. Yh pal..............................................................

Ramz

Ramz

 

With Out U..

If I had to live my life without you near me,The days would all be empty The nights would seem so long,With you I see forever oh so clearly I might have been in love before,But it never felt this strong Our dreams are young,And we both know They'll take us,Where we want to go Hold me now Touch me now I don't want to live without you Nothing's gonna change my love for you You ought know by now how much I love you One thing you can be sure of I'll never ask for more than your love Nothing's gonna change my love for you You ought know by now how much I love you The world may change my whole life through But nothing's gonna change my love for you If the road ahead is not so easy, Our love will lead the way for us Like a guiding star I'll be there for you if you should need me You don't have to change a thing I love you just the way you are So come with me and share the view I'll help you see forever too Hold me now Touch me now I don't want to live without you Nothing's gonna change my love for you You ought know by now how much I love you One thing you can be sure of I'll never ask for more than your love Nothing's gonna change my love for you You ought know by now how much I love you The world may change my whole life through But nothing's gonna change my love for you

Ramz

Ramz

×

Important Information

We have placed cookies on your device to help make this website better. You can adjust your cookie settings, otherwise we'll assume you're okay to continue.